chor ki dua
ai ḳhāliq-e-har-arz-o-samā vaqt-e-duā hai
bande pe tire aaj ajab vaqt paḌā hai
pahle bhī har aafat se mujhe tū ne bachāyā
daa.im rahā mujh pe tire altāf kā saaya
sach to ye hai kuttoñ ko sulā rakhtā hai tū hī
mere liye darvāza khulā rakhtā hai tū hī
insāf ke panje se mujhe tū ne chhuḌāyā
aur dām-e-havālāt meñ auroñ ko phañsāyā
naamī koī Daaku nahīñ chhoTā sā huuñ ik chor
rahm aatā hai bandoñ pe bahut dil kā huuñ kamzor
chhe saat sau mil jaa.e to bande ko hai kaafī
vo chor nahīñ huuñ jo kare vāda-ḳhilāfī
is chhat pe kamand apnī maiñ phekuñgā ghumā kar
himmat de mujhe itnī ki chaḌh jā.ūñ maiñ far-far
bismillāh are-vāh maiñ qurbān maiñ qurbān
kyā ḳhuub lagī hai kamand allāh tirī shaan
ai KHaliq-e-har-arz-o-sama waqt-e-dua hai
bande pe tere aaj ajab waqt paDa hai
pahle bhi har aafat se mujhe tu ne bachaya
daim raha mujh pe tere altaf ka saya
sach to ye hai kutton ko sula rakhta hai tu hi
mere liye darwaza khula rakhta hai tu hi
insaf ke panje se mujhe tu ne chhuDaya
aur dam-e-hawalat mein auron ko phansaya
nami koi Daku nahin chhoTa sa hun ek chor
rahm aata hai bandon pe bahut dil ka hun kamzor
chhe sat sau mil jae to bande ko hai kafi
wo chor nahin hun jo kare wada-KHilafi
is chhat pe kamand apni main phekunga ghuma kar
himmat de mujhe itni ki chaDh jaun main far-far
bismillah are-wah main qurban main qurban
kya KHub lagi hai kamand allah teri shan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.