chor-sahib se darKHwast
Interesting Fact
In interior Sindh, it was reported that the unidentified thieves fled from a man's house with cash, money, gold and silver jewelery, clothes and other valuables. This versified and respectful request is being written to prevent more such incidents which the city has become habituated to. This document can be sent to the correct name and place of the theif It is possible that this tactic will be effective in catching the thieves and the morality could also be guarded..
ek surḳhī chor ne ghar kā safāyā kar diyā
ghar jo apnā thā use bilkul parāyā kar diyā
ghar ke kapḌe rūpaya paisa aur talā.ī zevrāt
le gayā hai chor ye sāmāñ ba-vaqt-e-vārdāt
ye jo farmāyā ki ġhā.eb ho ga.e haiñ zevrāt
is kā ye matlab huā choroñ meñ haiñ kuchh ''begamāt''
hai jo us sāmāñ meñ majmūa koī ash.ār kā
is se kuchh andāza hogā chor ke me.aar kā
qīmtī sāmān meñ ''murġhā'' bhī shāmil hai agar
dūsrī line pe socheñge phir arbāb-e-nazar
chor-sāhib ko pakaḌne meñ police ho ab jo fail
maiñ batā.ūñ kis tarah mujrim ko ho saktī hai jail
jis ke ghar chorī huī hai bhuul jaa.e ye rapaT
yuuñ to dil meñ chor ke ho jā.egī paidā kapaT
nāhaq us shahrī ke dil kī hasratoñ kā ḳhuun ho
vo ab ik darḳhvāst likkhe jis kā ye mazmūn ho
chor-sāhib aap ne taklīf farmā.ī thī raat
ittifāqan so rahā thā maiñ ba-vaqt-e-vārdāt
aap mere ghar ba-sad-ummīd-o-armāñ aa.e the
balki ghar meñ apne hī mānind-e-mehmāñ aa.e the
aap kī ḳhātir na ho paa.ī bahut afsos hai
ghar meñ thī us vaqt tanhā.ī bahut afsos hai
aap ne ḳhādim ke ghar kā jo safāyā kar diyā
jis jagah thī gandagī rahmat kā saayā kar diyā
is safā.ī ke liye ham aap ke mamnūn haiñ
haañ abhī ghar meñ ka.ī sehhat-talab mazmūn haiñ
chor-sāhib aap ko taklīf to hogī magar
phir safāyā chāhtā hai kuchh makānoñ kā gutter
aap phir taklīf farmā.eñ jo az-rāh-e-karam
is mohalle meñ ġharīboñ kā bhī rah jaa.e bharam
ghar ko ā.īna banā deñ ab ke jab tashrīf laa.eñ
vaqt pahle se batā deñ ab ke jab tashrīf laa.eñ
merā afsāna jo ġhā.eb kar diyā hai aap ne
is meñ apnā rañg bhī kyā bhar diyā hai aap ne
is kā kyā hogā ye jo unvān aadhā rah gayā
ye bhī lete jaa.eñ jo sāmān aadhā rah gayā
ek surKHi chor ne ghar ka safaya kar diya
ghar jo apna tha use bilkul paraya kar diya
ghar ke kapDe rupaya paisa aur talai zewraat
le gaya hai chor ye saman ba-waqt-e-wardat
ye jo farmaya ki ghaeb ho gae hain zewraat
is ka ye matlab hua choron mein hain kuchh begamat
hai jo us saman mein majmua koi ashaar ka
is se kuchh andaza hoga chor ke mear ka
qimti saman mein murgha bhi shamil hai agar
dusri line pe sochenge phir arbab-e-nazar
chor-sahib ko pakaDne mein police ho ab jo fail
main bataun kis tarah mujrim ko ho sakti hai jail
jis ke ghar chori hui hai bhul jae ye rapaT
yun to dil mein chor ke ho jaegi paida kapaT
nahaq us shahri ke dil ki hasraton ka KHun ho
wo ab ek darKHwast likkhe jis ka ye mazmun ho
chor-sahib aap ne taklif farmai thi raat
ittifaqan so raha tha main ba-waqt-e-wardat
aap mere ghar ba-sad-ummid-o-arman aae the
balki ghar mein apne hi manind-e-mehman aae the
aap ki KHatir na ho pai bahut afsos hai
ghar mein thi us waqt tanhai bahut afsos hai
aap ne KHadim ke ghar ka jo safaya kar diya
jis jagah thi gandagi rahmat ka saya kar diya
is safai ke liye hum aap ke mamnun hain
han abhi ghar mein kai sehhat-talab mazmun hain
chor-sahib aap ko taklif to hogi magar
phir safaya chahta hai kuchh makanon ka gutter
aap phir taklif farmaen jo az-rah-e-karam
is mohalle mein gharibon ka bhi rah jae bharam
ghar ko aaina bana den ab ke jab tashrif laen
waqt pahle se bata den ab ke jab tashrif laen
mera afsana jo ghaeb kar diya hai aap ne
is mein apna rang bhi kya bhar diya hai aap ne
is ka kya hoga ye jo unwan aadha rah gaya
ye bhi lete jaen jo saman aadha rah gaya
- Book : Feesabilillah (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.