dakuon ki conference
maiñ ne kal ik ḳhvāb dekhā jo kabhī dekhā na thā
sach agar pūchho to yaaro so ke bhī soyā na thā
ajnabī se shahr meñ paiham rahā masrūf-e-sair
ek ik zarra jahāñ kā thā mirī nazroñ meñ ġhair
ruk ga.e ik qasr-e-nau ke sāmne mere qadam
ek banner par nazar aa.ī ibārat ye raqam
is jagah par tālibān-e-amn kī hai bazm-e-ām
qaum kī islāh kī ḳhātir hai saarā ehtimām
bāniyān-e-bazm haiñ chañmbal ke saare rāhzan
har qadam jin kā huā kartā thā kal tak dil-shikan
aaj har rahzan karegā khul ke duniyā se ḳhitāb
ḳhud uThā.eñge sab apne kārnāmoñ se naqāb
phir kareñge zeb tan pe rahnumāoñ kā libās
sab ke dil se aaj miT jā.egā har ḳhauf-o-hirās
pahle sadr-e-mohtaram ne ḳhud hī ik taqrīr kī
aur farmāyā ki jab thā mujh ko zauq-e-rahzanī
merī nazroñ meñ koī bhī jaan kī qīmat na thī
ik urūs-e-nau ke bhī armān kī qīmat na thī
merī gardan par hai jaane kitne māsūmoñ kā ḳhuun
qatl aur ġhārat-garī kā bhī rahā barsoñ junūn
mujh ko apne kārnāmoñ par hamesha naaz thā
kyā kahūñ apne junūñ par mujh ko kitnā naaz thā
jitne Daaku the vahāñ sab ne yūñhī taqrīr kī
apnī guzrī zindagī par sab ne Daalī raushnī
ek ne yuuñ bhī kahā maiñ rahzanoñ kā huuñ imaam
mere hāthoñ se huā hai bastiyoñ meñ qatl-e-ām
thā police kā ek jatthā bhī barābar kā sharīk
kotvāl-e-shahr bhī kahtā thā hai ye kaam Thiik
sarparastī leaderoñ kī bhī rahī hāsil mujhe
chehra dikhlātā rahā zau-bār mustaqbil mujhe
log jin ko rahbarān-e-vaqt kahte the yahāñ
dar-haqīqat vo mire akasr rahe haiñ pāsbāñ
āḳhirī Daaku ne aa kar is tarah taqrīr kī
aam rahzan se alag thā merā tarz-e-rahzanī
maiñ bhī Daaku huuñ magar merī adā kuchh aur hai
dar-haqīqat merā andāz-e-jafā kuchh aur hai
roz-e-avval se mujhe hai sirf smuggling kā shauq
bā.is-e-shohrat rahā hai merā ye maḳhsūs zauq
mustaqil hotā rahā merī tijārat ko faroġh
kah rahā huuñ jo ḳhudā shāmil nahīñ is meñ daroġh
hai police kī muḳhbirī karnā bhī merā ik usuul
jānte haiñ sab yahāñ maiñ ne khilā.e haiñ jo phuul
mere kārobār kī sab ko ḳhudā taufīq de
ye tamannā hai ki mujh se bhī sivā taufīq de
apnī apnī tarz meñ ham ko burā kahte haiñ log
is se ham achchhī tarah vāqif haiñ kyā kahte haiñ log
ham mubārakbād ke laa.eq haiñ is ke bāvajūd
kyuuñ ki poshīda naqāboñ meñ nahīñ apnā vajūd
rahbaroñ kā ab to hai har zāhirī aalam fareb
pārsā ban kar nahīñ dete kisī ko ham fareb
bhole-bhāle log aa jaate haiñ un kī baat meñ
lūTte haiñ din meñ ye ham lūTte haiñ raat meñ
un ke qaul o fel meñ hai raat aur din kā tazād
ye nahīñ karte ḳhudā kī rahmatoñ par e'timād
raat din in kī riyā-kārī ke bante haiñ usuul
in kā daavā hai ġhalat un kī ibādat hai fuzūl
rahzanoñ se mat Daro tum pārsāoñ se bachcho
leadarān-e-qaum kī zālim adāoñ se Daro
main ne kal ek KHwab dekha jo kabhi dekha na tha
sach agar puchho to yaro so ke bhi soya na tha
ajnabi se shahr mein paiham raha masruf-e-sair
ek ek zarra jahan ka tha meri nazron mein ghair
ruk gae ek qasr-e-nau ke samne mere qadam
ek banner par nazar aai ibarat ye raqam
is jagah par taliban-e-amn ki hai bazm-e-am
qaum ki islah ki KHatir hai sara ehtimam
baniyan-e-bazm hain chanmbal ke sare rahzan
har qadam jin ka hua karta tha kal tak dil-shikan
aaj har rahzan karega khul ke duniya se KHitab
KHud uThaenge sab apne karnamon se naqab
phir karenge zeb tan pe rahnumaon ka libas
sab ke dil se aaj miT jaega har KHauf-o-hiras
pahle sadr-e-mohtaram ne KHud hi ek taqrir ki
aur farmaya ki jab tha mujh ko zauq-e-rahzani
meri nazron mein koi bhi jaan ki qimat na thi
ek urus-e-nau ke bhi arman ki qimat na thi
meri gardan par hai jaane kitne masumon ka KHun
qatl aur ghaarat-gari ka bhi raha barson junun
mujh ko apne karnamon par hamesha naz tha
kya kahun apne junun par mujh ko kitna naz tha
jitne Daku the wahan sab ne yunhi taqrir ki
apni guzri zindagi par sab ne Dali raushni
ek ne yun bhi kaha main rahzanon ka hun imam
mere hathon se hua hai bastiyon mein qatl-e-am
tha police ka ek jattha bhi barabar ka sharik
kotwal-e-shahr bhi kahta tha hai ye kaam Thik
sarparasti leaderon ki bhi rahi hasil mujhe
chehra dikhlata raha zau-bar mustaqbil mujhe
log jin ko rahbaran-e-waqt kahte the yahan
dar-haqiqat wo mere akasr rahe hain pasban
aaKHiri Daku ne aa kar is tarah taqrir ki
aam rahzan se alag tha mera tarz-e-rahzani
main bhi Daku hun magar meri ada kuchh aur hai
dar-haqiqat mera andaz-e-jafa kuchh aur hai
roz-e-awwal se mujhe hai sirf smuggling ka shauq
bais-e-shohrat raha hai mera ye maKHsus zauq
mustaqil hota raha meri tijarat ko farogh
kah raha hun jo KHuda shamil nahin is mein darogh
hai police ki muKHbiri karna bhi mera ek usul
jaante hain sab yahan main ne khilae hain jo phul
mere karobar ki sab ko KHuda taufiq de
ye tamanna hai ki mujh se bhi siwa taufiq de
apni apni tarz mein hum ko bura kahte hain log
is se hum achchhi tarah waqif hain kya kahte hain log
hum mubarakbaad ke laeq hain is ke bawajud
kyun ki poshida naqabon mein nahin apna wajud
rahbaron ka ab to hai har zahiri aalam fareb
parsa ban kar nahin dete kisi ko hum fareb
bhole-bhaale log aa jate hain un ki baat mein
luTte hain din mein ye hum luTte hain raat mein
un ke qaul o fel mein hai raat aur din ka tazad
ye nahin karte KHuda ki rahmaton par e'timad
raat din in ki riya-kari ke bante hain usul
in ka dawa hai ghalat un ki ibaadat hai fuzul
rahzanon se mat Daro tum parsaon se bachcho
leadaran-e-qaum ki zalim adaon se Daro
- Book : Hans Kar Guzaar De (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.