dawaton mein shairi
da.avatoñ meñ shā.irī ab ho ga.ī hai rasm-e-ām
yuuñ bhī shā.ir se liyā jaatā hai akasr intiqām
pahle khānā us ko khilvāte haiñ bhūke kī tarah
phir use karte haiñ isti.māl mīThe kī tarah
suniye ik sāhab kā qissa jo baḌe fankār haiñ
haañ magar thoḌe se dāvat-ḳhor o duniyā-dār haiñ
ek dāvat meñ unheñ gaanā bhī thā khāne ke ba.ad
''vo tire aane se pahle ye tire jaane ke ba.ad''
shā.er-e-mausūf the is field meñ bilkul na.e
is liye vo kuchh zarūrat se ziyāda khā ga.e
qorma stū pasanda, kofta, shāmī kabāb
jaane kyā kyā khā gayā ye shā.er-e-me.ada-ḳharāb
kuchh na pūchho is amal se un ko kyā hāsil huā
un ke maazī se judā ḳhud un kā mustaqbil huā
sher paḌhne ke liye mausūf jab masnad par aa.e
zor to puurā lagā Daalā magar kuchh paḌh na paa.e
chāhte ye the maiñ kuchh hāl-e-dil-e-rūdād-e-ġham
muñh se sirf itnā hī niklā mammā-mammā-mammā-mam
dekh kar un kī ye hālat ik adīb-e-zinda-dil
un se ye kahne lagā ai bevaqūf-e-mustaqil
aa ke bazm-e-sher meñ shart-e-vafā puurī to kar
jitnā khānā khā gayā hai utnī mazdūrī to kar
ba.ad-e-sher-o-shā.erī khāne kā rakhiye intizām
ye ġhalat dastūr hai pahle ta.aam aur phir kalām
ye na hogā to adab zer-e-zamīñ gaḌ jā.egā
ḳhush-gulū shā.ir to khānā khā ke Thas paḌ jā.egā
dawaton mein shairi ab ho gai hai rasm-e-am
yun bhi shair se liya jata hai akasr intiqam
pahle khana us ko khilwate hain bhuke ki tarah
phir use karte hain istimal miThe ki tarah
suniye ek sahab ka qissa jo baDe fankar hain
han magar thoDe se dawat-KHor o duniya-dar hain
ek dawat mein unhen gana bhi tha khane ke baad
wo tere aane se pahle ye tere jaane ke baad
shaer-e-mausuf the is field mein bilkul nae
is liye wo kuchh zarurat se ziyaada kha gae
qorma stu pasanda, kofta, shami kabab
jaane kya kya kha gaya ye shaer-e-meada-KHarab
kuchh na puchho is amal se un ko kya hasil hua
un ke mazi se juda KHud un ka mustaqbil hua
sher paDhne ke liye mausuf jab masnad par aae
zor to pura laga Dala magar kuchh paDh na pae
chahte ye the main kuchh haal-e-dil-e-rudad-e-gham
munh se sirf itna hi nikla mamma-mamma-mamma-mam
dekh kar un ki ye haalat ek adib-e-zinda-dil
un se ye kahne laga ai bewaquf-e-mustaqil
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-wafa puri to kar
jitna khana kha gaya hai utni mazduri to kar
baad-e-sher-o-shaeri khane ka rakhiye intizam
ye ghalat dastur hai pahle taam aur phir kalam
ye na hoga to adab zer-e-zamin gaD jaega
KHush-gulu shair to khana kha ke Thas paD jaega
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.