dard kuchh kam na hua apna dawa khane se
dard kuchh kam na huā apnā davā khāne se
e.atibār uTh gayā hamdard davā-ḳhāne se
vo kachahrī se bulāte haiñ kabhī thāne se
ham bhī vo DhiiT haiñ haḌke nahīñ haḌkāne se
is buḌhāpe meñ lagāyā hai unhoñ ne surmā
baaz aate nahīñ vo ab bhī sitam Dhāne se
un ke abbā ko raqīboñ ne bahut bhaḌkāyā
vo to achchhā huā bhaḌke nahīñ bhaḌkāne se
na uThā paa.e vo maTkā to unhoñ ne ham ko
kabhī āñkhoñ se pilā.ī kabhī paimāne se
vo na jaage ki zarā jāgtī taqdīr mirī
aur sab jaag uThe khaaT ke sarkāne se
merī luknat ne mujhe vasl se rakkhā mahrūm
baat ban ban ke bigaḌtī rahī haklāne se
machchharoñ ne bhī raqīboñ kī tarah ḳhuun piyā
ham shab-e-vasl na fāriġh hue khujlāne se
ye na aadat hai hamārī na ye fitrat vaise
uzr 'masrūr' ko hargiz nahīñ nazrāne se
dard kuchh kam na hua apna dawa khane se
eatibar uTh gaya hamdard dawa-KHane se
wo kachahri se bulate hain kabhi thane se
hum bhi wo DhiT hain haDke nahin haDkane se
is buDhape mein lagaya hai unhon ne surma
baz aate nahin wo ab bhi sitam Dhane se
un ke abba ko raqibon ne bahut bhaDkaya
wo to achchha hua bhaDke nahin bhaDkane se
na uTha pae wo maTka to unhon ne hum ko
kabhi aankhon se pilai kabhi paimane se
wo na jage ki zara jagti taqdir meri
aur sab jag uThe khaT ke sarkane se
meri luknat ne mujhe wasl se rakkha mahrum
baat ban ban ke bigaDti rahi haklane se
machchharon ne bhi raqibon ki tarah KHun piya
hum shab-e-wasl na farigh hue khujlane se
ye na aadat hai hamari na ye fitrat waise
uzr 'masrur' ko hargiz nahin nazrane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.