dekhte jao
kisī kī Dhal ga.ī kaisī javānī dekhte jaao
jo thiiñ begam vo haiñ bachchoñ kī naanī dekhte jaao
Tañgī hai jo mire hanger-numā kandhoñ pe mailī sī
mirī shādī kī hai ye shervānī dekhte jaao
dikhā ke dasveñ nau-maulūd ko mujh se vo ye bolīñ
mohabbat kī hai ye taaza nishānī dekhte jaao
kiyā begam ne nāfiz ghar meñ dastūr-e-zabāñ-bandī
mire ghar aao merī be-zabānī dekhte jaao
maiñ pachpan kā huuñ vo pañdrah baras se tiis ke hī haiñ
javānī un kī merī nā-tavānī dekhte jaao
khaḌe haiñ sāmne ā.īne ke aur muskurāte haiñ
javānī ho ga.ī kaisī divānī dekhte jaao
bujhā saktā na thā jo tishnagī sahrā kī vo bādal
hayā se ho gayā hai paanī paanī dekhte jaao
bahut majbūr hotā hai to insāñ ḳhuun piitā hai
garāñ hai kis qadar piine kā paanī dekhte jaao
hamārā ḳhuun ik-na-ik din lā kar rahegā rañg
tumheñ mahñgī paḌegī zindagānī dekhte jaao
lahū par be-gunāhoñ ke rakhī hoñ jis kī buniyādeñ
nahīñ chalne kī aisī hukmarānī dekhte jaao
hayā aur sharm uThtī jā rahī hai is zamāne se
na jaane kab mire āñkhoñ kā paanī dekhte jaao
javānī 'ḳhvāh-maḳhvāh' ke dil kī kuchh to gul khilā.egī
hasīnoñ se chalī hai chheḌ-ḳhāni dekhte jaao
kisi ki Dhal gai kaisi jawani dekhte jao
jo thin begam wo hain bachchon ki nani dekhte jao
Tangi hai jo mere hanger-numa kandhon pe maili si
meri shadi ki hai ye sherwani dekhte jao
dikha ke daswen nau-maulud ko mujh se wo ye bolin
mohabbat ki hai ye taza nishani dekhte jao
kiya begam ne nafiz ghar mein dastur-e-zaban-bandi
mere ghar aao meri be-zabani dekhte jao
main pachpan ka hun wo pandrah baras se tis ke hi hain
jawani un ki meri na-tawani dekhte jao
khaDe hain samne aaine ke aur muskuraate hain
jawani ho gai kaisi diwani dekhte jao
bujha sakta na tha jo tishnagi sahra ki wo baadal
haya se ho gaya hai pani pani dekhte jao
bahut majbur hota hai to insan KHun pita hai
garan hai kis qadar pine ka pani dekhte jao
hamara KHun ik-na-ik din la kar rahega rang
tumhein mahngi paDegi zindagani dekhte jao
lahu par be-gunahon ke rakhi hon jis ki buniyaaden
nahin chalne ki aisi hukmarani dekhte jao
haya aur sharm uThti ja rahi hai is zamane se
na jaane kab mere aankhon ka pani dekhte jao
jawani 'KHwah-maKHwah' ke dil ki kuchh to gul khilaegi
hasinon se chali hai chheD-KHani dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.