di gai hai
hameñ jo zindagānī dī ga.ī hai
barā-e-mehrbānī dī ga.ī hai
samā.at chhīn kar ahl-e-ḳhirad kī
hameñ jādū-bayānī dī ga.ī hai
mujhe likhne ko ik achchhā sā unvāñ
mirī apnī kahānī dī ga.ī hai
jo rāh-e-haq meñ jaañ dete haiñ un ko
hayāt-e-jāvedānī dī ga.ī hai
magar jo maut se Darte haiñ un ko
vafāt-e-nā-gahānī dī ga.ī hai
za.īfī meñ javānī dī ga.ī hai
ghaḌī ik imtihānī dī ga.ī hai
javānoñ ko jo tohfe meñ milī hai
hameñ vo muñh zabānī dī ga.ī hai
badal dī hai kisī ne shervānī
na.ī le kar purānī dī ga.ī hai
javānoñ ko mubārak ho javānī
hameñ to naujavānī dī ga.ī hai
lagā.eñge vo aag ab bhāshanoñ se
jinheñ jādū-bayānī dī ga.ī hai
divāna 'ḳhvāh-maḳhvāh' bantā na kaise
nikāh meñ ik divānī dī ga.ī hai
hamein jo zindagani di gai hai
bara-e-mehrbani di gai hai
samaat chhin kar ahl-e-KHirad ki
hamein jadu-bayani di gai hai
mujhe likhne ko ek achchha sa unwan
meri apni kahani di gai hai
jo rah-e-haq mein jaan dete hain un ko
hayat-e-jawedani di gai hai
magar jo maut se Darte hain un ko
wafat-e-na-gahani di gai hai
zaifi mein jawani di gai hai
ghaDi ek imtihani di gai hai
jawanon ko jo tohfe mein mili hai
hamein wo munh zabani di gai hai
badal di hai kisi ne sherwani
nai le kar purani di gai hai
jawanon ko mubarak ho jawani
hamein to naujawani di gai hai
lagaenge wo aag ab bhashanon se
jinhen jadu-bayani di gai hai
diwana 'KHwah-maKHwah' banta na kaise
nikah mein ek diwani di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.