diwangi-e-ishq pe ilzam kuchh bhi ho
dīvāngī-e-ishq pe ilzām kuchh bhī ho
dil de diyā hai aap ko anjām kuchh bhī ho
dil ko yaqīñ hai jazba-e-dīdār kī qasam
vo aa.egā zarūr sar-e-bām kuchh bhī ho
āñdhī kī zad pe rakh to diyā hai charāġh-e-dil
raushan rahe ki gul ho sar-e-shām kuchh bhī ho
dil ko to e'timād hai saaqī kī zaat par
ab zahr de ki vo mai-e-gulfām kuchh bhī ho
'sāġhar' ne dil ko rakh to diyā hai tire huzūr
be-nām ab rahe yā mile naam kuchh bhī ho
diwangi-e-ishq pe ilzam kuchh bhi ho
dil de diya hai aap ko anjam kuchh bhi ho
dil ko yaqin hai jazba-e-didar ki qasam
wo aaega zarur sar-e-baam kuchh bhi ho
aandhi ki zad pe rakh to diya hai charagh-e-dil
raushan rahe ki gul ho sar-e-sham kuchh bhi ho
dil ko to e'timad hai saqi ki zat par
ab zahr de ki wo mai-e-gulfam kuchh bhi ho
'saghar' ne dil ko rakh to diya hai tere huzur
be-nam ab rahe ya mile nam kuchh bhi ho
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 370)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.