dil ki dil hi mein rahi
le ke vo aa.ī huī thiiñ apne shauhar se talāq
chāhtī thiiñ ahliya ko maiñ bhī duuñ dāġh-e-firāq
saath apne laa.ī thiiñ vo chhe adad bachchoñ ko bhī
aur kahtī thiiñ ki kar do apne chhe bachchoñ ko aaq
koThiyāñ careñ ka.ī aur bank balance be-hisāb
shahr meñ thā har jagah mash.hūr un kā tumtarāq
sar kaḌāhī meñ ho jaise ghī meñ pān.cho uñgliyāñ
thā proposal hī aisā kyoñ na baḌhtā ishtiyāq
muñh meñ paanī aa gayā mere ye sab kuchh dekh kar
zikr begam se kiyā maiñ ne phir az-rāh-e-mazāq
bar-sabīl-e-tazkira hī baat un se chheḌ dī
taaki kuchh aisā lage jaise ho bas ik ittifāq
zikr karnā thā ki vo aape se bāhar ho ga.iiñ
aa gayā fauran samajh meñ is kahānī kā siyāq
vo jalāl aayā unheñ ki al-amān-o-al-hafīz
muñh bhī un kā phail kar aisā huā jaise tabāq
qadr thī lāzim mire jazbāt kī un par magar
is takalluf ko unhoñ ne rakh diyā bālā-e-tāq
phir mirī durgat banī aisī ki kuchh mat pochhiye
haDDiyoñ se aa rahī thī ye sadā taḌ taḌ taḌāq
le ke wo aai hui thin apne shauhar se talaq
chahti thin ahliya ko main bhi dun dagh-e-firaq
sath apne lai thin wo chhe adad bachchon ko bhi
aur kahti thin ki kar do apne chhe bachchon ko aaq
koThiyan caren kai aur bank balance be-hisab
shahr mein tha har jagah mashhur un ka tumtaraq
sar kaDahi mein ho jaise ghi mein pancho ungliyan
tha proposal hi aisa kyon na baDhta ishtiyaq
munh mein pani aa gaya mere ye sab kuchh dekh kar
zikr begam se kiya main ne phir az-rah-e-mazaq
bar-sabil-e-tazkira hi baat un se chheD di
taki kuchh aisa lage jaise ho bas ek ittifaq
zikr karna tha ki wo aape se bahar ho gain
aa gaya fauran samajh mein is kahani ka siyaq
wo jalal aaya unhen ki al-aman-o-al-hafiz
munh bhi un ka phail kar aisa hua jaise tabaq
qadr thi lazim mere jazbaat ki un par magar
is takalluf ko unhon ne rakh diya baala-e-taq
phir meri durgat bani aisi ki kuchh mat pochhiye
haDDiyon se aa rahi thi ye sada taD taD taDaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.