dilli ki bus
thartharātī kāñptī aa.ī jo bus-stop par
chaḌh gayā bonnet pe koī aur koī top par
sūratan sajjan manush lekin nazar thī paap par
hashr kā hañgām thā ġhālib the beTe baap par
karvaToñ se bus kī bus meñ aur halchal ho ga.ī
dāstān-e-ishq kitnoñ kī mukammal ho ga.ī
ho gayā thā bhiiḌ se har shaḳhs bus meñ chiḌchiḌā
ek hī bus meñ khaḌā thā shahr kā chhoTā baḌā
jab koī andar ghisā to koī bāhar gir paḌā
chit paḌā thā bus meñ koī koī sar ke bal khaḌā
yog ke jitne the aasan bas meñ ik din ho ga.e
jeb meñ rakkhe chane pis pis ke besan ho ga.e
aañkh meñ ik baar tasvīr-e-yatīmī phir ga.ī
maiñ to andar ghus gayā chappal vahīñ par gir ga.ī
sar se sarkī ek Topī kis ke kis ke sar ga.ī
zikr kyā dāmāñ kā kiije āstīñ tak chaḌh ga.ī
is qadar ragḌī ga.ī bilkul purānī ho ga.ī
gahrī niilī shervānī āsmānī ho ga.ī
gore gore surḳh chehre pyaas se murjhā.e the
saḳht garmī ke sabab bachche kahīñ chillā.e the
ek sāhib bhiiḌ meñ kuchh is qadar ghabrā.e the
apnī guddī jaan ke guddī mirī khulā.e the
rafta rafta vo sarak ke pairahan meñ aa ga.e
un ke muñh ke paan tak mere dahan meñ aa ga.e
thā yaqīñ dil ko mire sargarmī-e-raftār se
jā rahī hai dūsrī duniyā meñ vo sansār se
is qadar jhaTke liye us nāznīñ ne pyaar se
phañs ga.ī būḌhe kī dāḌhī gesū-e-ḳhamdār se
jab break par paañv maarā accelerator chhoḌ kar
rakh diyā kam-baḳht ne sab kā muqaddar phoḌ kar
haDDī haDDī ho ga.ī thī aadmī kī chuur chuur
dekh ke hālāt bus ke kah rahe the bā-shu.ūr
dīdanī hai kis qadar nazzāra-e-hūr-o-qusūr
chhoḌ kar motor-nashīnī ik daf.a dekheñ zarūr
jānte haiñ dosto! jin kī nazar bārīk hai
bus ke darvāza se jannat kis qadar nazdīk hai
thartharaati kanpti aai jo bus-stop par
chaDh gaya bonnet pe koi aur koi top par
suratan sajjan manush lekin nazar thi pap par
hashr ka hangam tha ghaalib the beTe bap par
karwaTon se bus ki bus mein aur halchal ho gai
dastan-e-ishq kitnon ki mukammal ho gai
ho gaya tha bhiD se har shaKHs bus mein chiDchiDa
ek hi bus mein khaDa tha shahr ka chhoTa baDa
jab koi andar ghisa to koi bahar gir paDa
chit paDa tha bus mein koi koi sar ke bal khaDa
yog ke jitne the aasan bas mein ek din ho gae
jeb mein rakkhe chane pis pis ke besan ho gae
aankh mein ek bar taswir-e-yatimi phir gai
main to andar ghus gaya chappal wahin par gir gai
sar se sarki ek Topi kis ke kis ke sar gai
zikr kya daman ka kije aastin tak chaDh gai
is qadar ragDi gai bilkul purani ho gai
gahri nili sherwani aasmani ho gai
gore gore surKH chehre pyas se murjhae the
saKHt garmi ke sabab bachche kahin chillae the
ek sahib bhiD mein kuchh is qadar ghabrae the
apni guddi jaan ke guddi meri khulae the
rafta rafta wo sarak ke pairahan mein aa gae
un ke munh ke pan tak mere dahan mein aa gae
tha yaqin dil ko mere sargarmi-e-raftar se
ja rahi hai dusri duniya mein wo sansar se
is qadar jhaTke liye us naznin ne pyar se
phans gai buDhe ki daDhi gesu-e-KHamdar se
jab break par panw mara accelerator chhoD kar
rakh diya kam-baKHt ne sab ka muqaddar phoD kar
haDDi haDDi ho gai thi aadmi ki chur chur
dekh ke haalat bus ke kah rahe the ba-shuur
didani hai kis qadar nazzara-e-hur-o-qusur
chhoD kar motor-nashini ek dafa dekhen zarur
jaante hain dosto! jin ki nazar barik hai
bus ke darwaza se jannat kis qadar nazdik hai
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.