dilli ki laDkiyan
koī ragaḌ na vaqt kī be-nām kar sakī
koī ghuTan na ġharq-e-mai-o-jām kar sakī
duniyā kī jhāeñ-jhap kahāñ nākām kar sakī
bāñkā na baal gardish-e-ayyām kar sakī
Takrā chukā huuñ 'rustam' o 'dārā' kī zaat se
jab bhī shikast khaa.ī hai aurat ke haath se
vo husn vo jamāl vo mastī se pur badan
chehre ke ā.īne meñ mahakte hue chaman
uḌ jaa.e niiñd dekh ke sīnoñ kā bāñkpan
bheje pe tesha maar le dekhe jo kohkan
zulfeñ jhaTak ke paas se jo bhī guzar ga.ī
aisā lagā ki gardish-e-daurāñ Thahar ga.ī
vo chāñdnī sā ruup vo zulfoñ ke pech-o-ḳham
nāzuk sī pinDlī us meñ vo pāyal kī chham pe chham
āñkheñ nashīlī us pe qayāmat charas ke dam
zinda haiñ ham huzūr hai allāh kā karam
dekhe jo qais husn to lailā ko bhuul jaa.e
ham kyā haiñ rīsh-e-hazrat-maulānā jhuul jaa.e
chustī-bharā libās jhalaktā huā shabāb
chehre ke ā.īne meñ mahakte hue gulāb
vo dhuup se ḳhirām vo chehra ke āftāb
vo baal jaise vādī-e-kashmīr meñ sahāb
kitne hī qais husn kī daldal meñ phañs ga.e
shahroñ ko chhoḌ chhoḌ ke jañgal meñ bas ga.e
duniyā ke husn-ḳhāne meñ miltī nahīñ misāl
ik husn-e-lā-zavāl hai ik husn-e-bā-kamāl
ik 'mīr' kī ġhazal hai to 'ġhālib' kā ik ḳhayāl
is vādī-e-jamāl meñ jiinā hai ab muhāl
mehñdī lage vo haath vo miinā sī uñgliyāñ
ham ko tabāh kar ga.iiñ dillī kī laḌkiyāñ
koi ragaD na waqt ki be-nam kar saki
koi ghuTan na gharq-e-mai-o-jam kar saki
duniya ki jhaen-jhap kahan nakaam kar saki
banka na baal gardish-e-ayyam kar saki
Takra chuka hun 'rustam' o 'dara' ki zat se
jab bhi shikast khai hai aurat ke hath se
wo husn wo jamal wo masti se pur badan
chehre ke aaine mein mahakte hue chaman
uD jae nind dekh ke sinon ka bankpan
bheje pe tesha mar le dekhe jo kohkan
zulfen jhaTak ke pas se jo bhi guzar gai
aisa laga ki gardish-e-dauran Thahar gai
wo chandni sa rup wo zulfon ke pech-o-KHam
nazuk si pinDli us mein wo payal ki chham pe chham
aankhen nashili us pe qayamat charas ke dam
zinda hain hum huzur hai allah ka karam
dekhe jo qais husn to laila ko bhul jae
hum kya hain rish-e-hazrat-maulana jhul jae
chusti-bhara libas jhalakta hua shabab
chehre ke aaine mein mahakte hue gulab
wo dhup se KHiram wo chehra ke aaftab
wo baal jaise wadi-e-kashmir mein sahab
kitne hi qais husn ki daldal mein phans gae
shahron ko chhoD chhoD ke jangal mein bas gae
duniya ke husn-KHane mein milti nahin misal
ek husn-e-la-zawal hai ek husn-e-ba-kamal
ek 'mir' ki ghazal hai to 'ghaalib' ka ek KHayal
is wadi-e-jamal mein jina hai ab muhaal
mehndi lage wo hath wo mina si ungliyan
hum ko tabah kar gain dilli ki laDkiyan
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 315)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.