doctor biwi
mujh ko hai dil kā āriza aur merī biivī doctor
phir bhalā har maze kī chiiz mujh se na duur jaa.e kyuuñ
lunch mirā hai ublī daal nāshta ek saada toast
roast kī ḳhushbū phir bhalā naak meñ merī aa.e kyuuñ
aslī ghī sūñgh saktā huuñ makkhan ko dekh saktā huuñ
khāne kī aarzū magar nā-tavāñ dil meñ aa.e kyuuñ
haal mirā na pūchhiye chaal mirī na dekhiye
bas itnā mujh se pūchhiye kartā huuñ bye bye kyuuñ
jiitī rahe ḳhudā kare jis ko mirā ḳhayāl hai
soch rahā hoñ ye ash.ār zehn meñ mere aa.e kyuuñ
is kī har ek baat maiñ chupke se maan letā huuñ
jis ko ho jaan o dil aziiz us ke ḳhilāf jaa.e kyuuñ
mujh ko hai dil ka aariza aur meri biwi doctor
phir bhala har maze ki chiz mujh se na dur jae kyun
lunch mera hai ubli dal nashta ek sada toast
roast ki KHushbu phir bhala nak mein meri aae kyun
asli ghi sungh sakta hun makkhan ko dekh sakta hun
khane ki aarzu magar na-tawan dil mein aae kyun
haal mera na puchhiye chaal meri na dekhiye
bas itna mujh se puchhiye karta hun bye bye kyun
jiti rahe KHuda kare jis ko mera KHayal hai
soch raha hon ye ashaar zehn mein mere aae kyun
is ki har ek baat main chupke se man leta hun
jis ko ho jaan o dil aziz us ke KHilaf jae kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.