dum
'saġhar' kahāñ se aa ga.ī dil meñ dumoñ kī baat
dum ke baġhair aadmī lagtā hai vāhiyāt
milte haiñ ahl-e-fan ko yahīñ se muharrikāt
hotī thī dum subūt meñ is ke mohāvrāt
ustād kah rahe the chhurā dil pe chal gayā
dum par hamārī paañv vo rakh kar nikal gayā
hotī thī ik zamāne meñ har aadmī ke dum
be-imtiyāz-e-maz.hab-o-millat sabhī ke dum
phūle nahīñ samātī thī maare ḳhushī ke dum
gardan meñ Daale phirte the āshiq kisī ke dum
jaatā thā jab safar pe koī dum hilāte the
ik dūsre se haath nahīñ dum milāte the
hotā jo in dinoñ kahīñ dum-dār aadmī
kartā dumoñ se ishq kā iz.hār aadmī
rakhtā barā-e-hifz na hathiyār aadmī
dum ko chalātā jaan ke talvār aadmī
kyuuñ jūtiyāñ barstīñ kisī bad-ḳhisāl par
ma.ashūq dum ko mārte āshiq ke gaal par
chaḌhtā hai zehn-e-ishq pe jab ishq kā buḳhār
dil se ziyāda dum nazar aatī hai be-qarār
moTī dumoñ se hotā hai akasr sabhī ko pyaar
ik dum ke pīchhe hote haiñ dum-chhalle be-shumār
kyā thī ḳhabar ye rishta-e-jāñ TuuT jā.egā
hāthoñ se merī dum kā sirā chhūT jā.egā
sho.ala barā-e-ishq bhaḌaktā nahīñ koī
kam-zarf mai-kade meñ chhalaktā nahīñ koī
TeḌhī dumoñ ke saath aTaktā nahīñ koī
uljhī dumoñ ke paas phaTaktā nahīñ koī
ik dum bahut hai saare shayātīn ke liye
kitnī zarūrī shai hai ḳhvātīn ke liye
ham bhī unhīñ damoñ ke hamesha se fan haiñ
izzat haiñ ḳhāndāñ kī jo mahfil kī zain haiñ
ThanDak haiñ chashm-e-tar kī kaleje kā chain haiñ
'saġhar' shab-e-firāq ye āshiq ke bain haiñ
rakhiye ḳhudā ke vāste dum ko ġhilāf meñ
kal shab Tahal rahī thī hamāre lihāf meñ
sau fā.ede dumoñ ke haiñ kyā kyā ginā.iye
taare falak se toḌ ke dhartī pe lā.iye
phunne se dum ke chehre pe powder lagā.iye
chamcha na ho to chaa.e bhī dum se chalā.iye
vo hī maqām-e-'ġhālib'-o-'iqbāl' pā.eñge
moTī dumoñ ke sāmne jo dum hilā.eñge
'saghar' kahan se aa gai dil mein dumon ki baat
dum ke baghair aadmi lagta hai wahiyat
milte hain ahl-e-fan ko yahin se muharrikat
hoti thi dum subut mein is ke mohawraat
ustad kah rahe the chhura dil pe chal gaya
dum par hamari panw wo rakh kar nikal gaya
hoti thi ek zamane mein har aadmi ke dum
be-imtiyaz-e-mazhab-o-millat sabhi ke dum
phule nahin samati thi mare KHushi ke dum
gardan mein Dale phirte the aashiq kisi ke dum
jata tha jab safar pe koi dum hilate the
ek dusre se hath nahin dum milate the
hota jo in dinon kahin dum-dar aadmi
karta dumon se ishq ka izhaar aadmi
rakhta bara-e-hifz na hathiyar aadmi
dum ko chalata jaan ke talwar aadmi
kyun jutiyan barstin kisi bad-KHisal par
mashuq dum ko marte aashiq ke gal par
chaDhta hai zehn-e-ishq pe jab ishq ka buKHar
dil se ziyaada dum nazar aati hai be-qarar
moTi dumon se hota hai akasr sabhi ko pyar
ek dum ke pichhe hote hain dum-chhalle be-shumar
kya thi KHabar ye rishta-e-jaan TuT jaega
hathon se meri dum ka sira chhuT jaega
shoala bara-e-ishq bhaDakta nahin koi
kam-zarf mai-kade mein chhalakta nahin koi
TeDhi dumon ke sath aTakta nahin koi
uljhi dumon ke pas phaTakta nahin koi
ek dum bahut hai sare shayatin ke liye
kitni zaruri shai hai KHwatin ke liye
hum bhi unhin damon ke hamesha se fan hain
izzat hain KHandan ki jo mahfil ki zain hain
ThanDak hain chashm-e-tar ki kaleje ka chain hain
'saghar' shab-e-firaq ye aashiq ke bain hain
rakhiye KHuda ke waste dum ko ghilaf mein
kal shab Tahal rahi thi hamare lihaf mein
sau faede dumon ke hain kya kya ginaiye
tare falak se toD ke dharti pe laiye
phunne se dum ke chehre pe powder lagaiye
chamcha na ho to chae bhi dum se chalaiye
wo hi maqam-e-'ghaalib'-o-'iqbaal' paenge
moTi dumon ke samne jo dum hilaenge
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.