dusri shadi
ik shaḳhs ik mazār pe rotā thā baiTh kar
merā bhī ittifāq se ik din huā guzar
pūchhā ye maiñ ne rotā hai kyuuñ itnā zār-zār
ye vālida kī qabr hai yā baap kā mazār
bolā ki mere rone kā kuchh pūchhiye na haal
jo shaḳhs is meñ dafn hai us kā nahīñ malāl
ḳhāvind merī biivī kā ye mujh se pahle thā
biivī kī dhamkīyoñ se ye ghabrā ke mar gayā
maiñ ro rahā huuñ ye to jahāñ se chalā gayā
apnī balā ko mere gale se lagā gayā
ek shaKHs ek mazar pe rota tha baiTh kar
mera bhi ittifaq se ek din hua guzar
puchha ye main ne rota hai kyun itna zar-zar
ye walida ki qabr hai ya bap ka mazar
bola ki mere rone ka kuchh puchhiye na haal
jo shaKHs is mein dafn hai us ka nahin malal
KHawind meri biwi ka ye mujh se pahle tha
biwi ki dhamkiyon se ye ghabra ke mar gaya
main ro raha hun ye to jahan se chala gaya
apni bala ko mere gale se laga gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.