ek se ek ab ke baDh kar hai
har adā un kī ḳhaas number hai
nuqta nuqta hai yaas kī tasvīr
nāma-e-ġham mirā musavvar hai
baḌh rahī hai zaḳhāmat-e-girya
rone vaale kā haal abtar hai
ḳhairiyat kī kabhī ḳhabar na milī
terā darbān hai ki reuter hai
mere jazbe kī vo kareñ tā.īd
ye sa.ādat kahāñ mayassar hai
un ke muñh se do-columī gaalī
qand hai qand bhī mukarrar hai
kah rahā thā ye kal zamīma-farosh
dil-e-'laq-laq' meñ shor-e-mahshar hai
har ada un ki KHas number hai
nuqta nuqta hai yas ki taswir
nama-e-gham mera musawwar hai
baDh rahi hai zaKHamat-e-girya
rone wale ka haal abtar hai
KHairiyat ki kabhi KHabar na mili
tera darban hai ki reuter hai
mere jazbe ki wo karen taid
ye saadat kahan mayassar hai
un ke munh se do-columi gali
qand hai qand bhi mukarrar hai
kah raha tha ye kal zamima-farosh
dil-e-'laq-laq' mein shor-e-mahshar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.