family-planning
har dam yahī ik fikr ho aulād hī kā zikr ho
har samt chāhe kaal ho saarā jahāñ pāmāl ho
bad-hāl ho be haal ho kañgāl ho
bachchoñ se mālā-māl ho
ghar meñ agar khānā nahīñ paanī nahīñ, daanā nahīñ
chāhe koī nāshād ho
ghar meñ agar chilman nahīñ ik sham.a tak raushan nahīñ
aaTā nahīñ ration nahīñ
ek din safar ko ham chale, aur rail meñ ham ghus ga.e
bachchoñ se ham muñh moḌ kar, saare calendar chhoḌ kar
aur gher liiñ seateñ tamām rakkhā magar ye ehtimām
saare musāfir hoñ khaḌe har samt hoñ bachche paḌe
ik shor-o-hañgāma rahe, gardish meñ paimāna rahe
koī jiye chāhe mare apnā safar achchhā kaTe
bachchoñ kī paidā.ish meñ ham cheñ-peñ kī ālā.ish meñ ham
vaqfe kabhī dete nahīñ duniyā se ham heTe nahīñ
jab jānkī kā ghar basā aur bārahvāñ bachcha huā
bole ye sun kar jānkī sab den hai bhagvān kī
baabā ne pūchhā kyā huā bole ki phir laḌkā huā
bole chalo achchhā huā aulād kā koTā baḌhā
bole ki ye kyā khā.egā is ke liye kyā aa.egā
is kā abhī se zikr kyā is kī abhī se fikr kyā
ham sab faqīroñ ko yahāñ itnī bhalā fursat kahāñ
aulād bhī paidā kareñ aur baiTh kar sochā kareñ
paise kahāñ se ā.eñge? kapḌe kahāñ se lā.eñge?
vo jin kā behtar haal hai, un kā bhī ye ahvāl hai
jab bicycle par chal diye, kul family apnī liye
do Tokarī meñ haiñ nihāñ do kā hai DanDe par makāñ
shānoñ ko do pakḌe hue, gardan meñ do jakḌe hue
hai carēr par maañ ladī laḌkī hai ghanTī se bañdhī
bicycle ne farrāTe bhare laḌkoñ ne ḳharrāTe bhare
phir zan, zanāzan, zan zanan zan zan zanāzan zan zanan
har dam yahi ek fikr ho aulad hi ka zikr ho
har samt chahe kal ho sara jahan pamal ho
bad-haal ho be haal ho kangal ho
bachchon se mala-mal ho
ghar mein agar khana nahin pani nahin, dana nahin
chahe koi nashad ho
ghar mein agar chilman nahin ek shama tak raushan nahin
aaTa nahin ration nahin
ek din safar ko hum chale, aur rail mein hum ghus gae
bachchon se hum munh moD kar, sare calendar chhoD kar
aur gher lin seaten tamam rakkha magar ye ehtimam
sare musafir hon khaDe har samt hon bachche paDe
ek shor-o-hangama rahe, gardish mein paimana rahe
koi jiye chahe mare apna safar achchha kaTe
bachchon ki paidaish mein hum chen-pen ki aalaish mein hum
waqfe kabhi dete nahin duniya se hum heTe nahin
jab jaanki ka ghar basa aur barahwan bachcha hua
bole ye sun kar jaanki sab den hai bhagwan ki
baba ne puchha kya hua bole ki phir laDka hua
bole chalo achchha hua aulad ka koTa baDha
bole ki ye kya khaega is ke liye kya aaega
is ka abhi se zikr kya is ki abhi se fikr kya
hum sab faqiron ko yahan itni bhala fursat kahan
aulad bhi paida karen aur baiTh kar socha karen
paise kahan se aaenge? kapDe kahan se laenge?
wo jin ka behtar haal hai, un ka bhi ye ahwal hai
jab bicycle par chal diye, kul family apni liye
do Tokari mein hain nihan do ka hai DanDe par makan
shanon ko do pakDe hue, gardan mein do jakDe hue
hai career par man ladi laDki hai ghanTi se bandhi
bicycle ne farraTe bhare laDkon ne KHarraTe bhare
phir zan, zanazan, zan zanan zan zan zanazan zan zanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.