Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farzi latifa

Akbar Allahabadi

farzi latifa

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    ḳhudā hāfiz musalmānoñ akbar

    mujhe to in ḳhush-hālī se hai yaas

    ye āshiq shāhid-e-maqsūd ke haiñ

    na jā.eñge va-lekin sa.ī ke paas

    sunā.ūñ tum ko ik farzī latīfa

    kiyā hai jis ko maiñ ne zeb-e-qirtās

    kahā majnūñ se ye lailā maañ ne

    ki beTā agar kar le M-A paas

    to fauran byaah duuñ lailā ko tujh se

    bilā diqqat maiñ ban jā.ūñ tirī saas

    kahā majnūñ ne ye achchhī sunā.ī

    kujā āshiq kujā college bakvās

    kujā ye fitratī josh-e-tabī.at

    kujā Thūñsī huī chīzoñ ehsās

    baḌī aap ko kyā ho gayā hai

    hiran pe laadī jaatī hai kahīñ ghaas

    ye achchhī qadrdānī aap ne

    mujhe samjhā hai koī har charan daas

    dil apnā ḳhuun karne ko huuñ maujūd

    nahīñ manzūr maġhz-e-sar āmās

    yahī Thahrī jo shart-e-vasl-e-lailā

    to istīfā mirā bā-hasrat-o-yās

    KHuda hafiz musalmanon ka akbar

    mujhe to in ki KHush-haali se hai yas

    ye aashiq shahid-e-maqsud ke hain

    na jaenge wa-lekin sai ke pas

    sunaun tum ko ek farzi latifa

    kiya hai jis ko main ne zeb-e-qirtas

    kaha majnun se ye laila ki man ne

    ki beTa tu agar kar le M-A pas

    to fauran byah dun laila ko tujh se

    bila diqqat main ban jaun teri sas

    kaha majnun ne ye achchhi sunai

    kuja aashiq kuja college ki bakwas

    kuja ye fitrati josh-e-tabiat

    kuja Thunsi hui chizon ka ehsas

    baDi bi aap ko kya ho gaya hai

    hiran pe ladi jati hai kahin ghas

    ye achchhi qadrdani aap ne ki

    mujhe samjha hai koi har charan das

    dil apna KHun karne ko hun maujud

    nahin manzur maghz-e-sar ka aamas

    yahi Thahri jo shart-e-wasl-e-laila

    to istifa mera ba-hasrat-o-yas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now