gale-baz shaer
gale-bāzī ke liye mulk meñ mash.hūr haiñ ham
sher kahne kā savāl aa.e to majbūr haiñ ham
apne ash.ār samajhne se bhī ma.azūr haiñ ham
fan se 'ġhālib' ke bahut duur bahut duur haiñ ham
apnī shohrat kī alag raah nikālī ham ne
kisī dīvāñ se ġhazal koī churā lī ham ne
sarqa-e-fan pe sabhī sāhab-e-fan jhuum uThe
sher aise the ki arbāb-e-suḳhan jhuum uThe
lāla-ruḳh jhuum uThe shola-badan jhuum uThe
shaiḳh-jī jhuum uThe lāla-madan jhuum uThe
kal jo qaa.em thā hamārā vo bharam aaj bhī hai
ya.anī allāh kā maḳhsūs karam aaj bhī hai
kahīñ nau-sau hameñ milte haiñ kahīñ DheḌh-hazār
chāhne vaale haiñ itne ki nahīñ koī shumār
ek ik sher ko paḌhvāte haiñ sab das das baar
yā ilāhī na ho āvāz hamārī be-kār
hogī āvāz jo be-kār to mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
roz rahte haiñ safar meñ hameñ sab jānte haiñ
'nāzish' o 'hāfiz' o 'ḳhayyām' hameñ mānte haiñ
kitne hī ġhālib-e-daurāñ hameñ gardānte haiñ
'nūr'-bhayyā huuñ ki 'tābāñ' sabhī pahchānte haiñ
roz hote haiñ vatan meñ adabī hañgāme
ek din meñ ka.ī aa jaate haiñ dāvat-nāme
āzmāyā gayā ik din sar-e-mahfil ham ko
jab kisī ne nahīñ samjhā kisī qābil ham ko
log kahne lage har samt se jāhil ham ko
naqlī shohrat ne kuchh itnā kiyā bad-dil ham ko
dekhte haiñ hameñ nafrat se zamāne vaale
mar ga.e saare hī kyā ham ko bulāne vaale
gale-bazi ke liye mulk mein mashhur hain hum
sher kahne ka sawal aae to majbur hain hum
apne ashaar samajhne se bhi mazur hain hum
fan se 'ghaalib' ke bahut dur bahut dur hain hum
apni shohrat ki alag rah nikali hum ne
kisi diwan se ghazal koi chura li hum ne
sarqa-e-fan pe sabhi sahab-e-fan jhum uThe
sher aise the ki arbab-e-suKHan jhum uThe
lala-ruKH jhum uThe shola-badan jhum uThe
shaiKH-ji jhum uThe lala-madan jhum uThe
kal jo qaem tha hamara wo bharam aaj bhi hai
yani allah ka maKHsus karam aaj bhi hai
kahin nau-sau hamein milte hain kahin DheDh-hazar
chahne wale hain itne ki nahin koi shumar
ek ek sher ko paDhwate hain sab das das bar
ya ilahi na ho aawaz hamari be-kar
hogi aawaz jo be-kar to mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
roz rahte hain safar mein hamein sab jaante hain
'nazish' o 'hafiz' o 'KHayyam' hamein mante hain
kitne hi ghaalib-e-dauran hamein gardante hain
'nur'-bhayya hun ki 'taban' sabhi pahchante hain
roz hote hain watan mein adabi hangame
ek din mein kai aa jate hain dawat-name
aazmaya gaya ek din sar-e-mahfil hum ko
jab kisi ne nahin samjha kisi qabil hum ko
log kahne lage har samt se jahil hum ko
naqli shohrat ne kuchh itna kiya bad-dil hum ko
dekhte hain hamein nafrat se zamane wale
mar gae sare hi kya hum ko bulane wale
- Book : Hans Kar Guzaar De (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.