gale paDa mehman
ik roz ghar jame hue mehmān se kahā
rusvā huā ki aap kī ḳhidmat na kar sakā
kahne lage ki aisā nahīñ hai janāb-e-man
bhābhī mujhe khilātī rahīñ murġh aur mutton
afrād-e-ḳhāna aap ke sab be-gazand haiñ
beTe bhī tīnoñ aap ke mujh ko pasand haiñ
maiñ ne kahā ki phir bhī mire dil ko hai yaqīñ
ḳhātir na koī kar sakā maiñ aap ke ta.iiñ
zahmat huī hai ab na kabhī aap ā.eñge
bole zarūr ā.ūñgā jab bhī bulā.eñge
maiñ ne kahā ki murġh mutton yuuñ hī khāoge
jab jāoge nahīñ to bhalā kaise aaoge
ek roz ghar jame hue mehman se kaha
ruswa hua ki aap ki KHidmat na kar saka
kahne lage ki aisa nahin hai janab-e-man
bhabhi mujhe khilati rahin murgh aur mutton
afrad-e-KHana aap ke sab be-gazand hain
beTe bhi tinon aap ke mujh ko pasand hain
main ne kaha ki phir bhi mere dil ko hai yaqin
KHatir na koi kar saka main aap ke tain
zahmat hui hai ab na kabhi aap aaenge
bole zarur aaunga jab bhi bulaenge
main ne kaha ki murgh mutton yun hi khaoge
jab jaoge nahin to bhala kaise aaoge
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.