gharib-KHana hamesha se jail-KHana hai
ġharīb-ḳhāna hamesha se jail-ḳhāna hai
mirā mizāj laḌakpan se leadarana hai
ilāhī ḳhair dil-e-zār o nā-tavān kī ḳhair
ki aaj un kā har andāz hitlerana hai
tum aaj kyuuñ ye governor se ban ke baiThe ho
kaho kaho mirī jaañ kis ko āzmānā hai
diloñ kā farsh bichhā hai jidhar nigāh karo
tumhārā ghar bhī diloñ kā kabāḌ-ḳhāna hai
na dekh aah mujhe ai nigāh-e-yār na dekh
ki aaj terā har andāz jārehāna hai
mujhe 'zamīr' ḳhudā ke karam se kyā na milā
mizāj garm tabī.at bhī shā.irāna hai
gharib-KHana hamesha se jail-KHana hai
mera mizaj laDakpan se leadarana hai
ilahi KHair dil-e-zar o na-tawan ki KHair
ki aaj un ka har andaz hitlerana hai
tum aaj kyun ye gowernor se ban ke baiThe ho
kaho kaho meri jaan kis ko aazmana hai
dilon ka farsh bichha hai jidhar nigah karo
tumhaara ghar bhi dilon ka kabaD-KHana hai
na dekh aah mujhe ai nigah-e-yar na dekh
ki aaj tera har andaz jarehana hai
mujhe 'zamir' KHuda ke karam se kya na mila
mizaj garm tabiat bhi shairana hai
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 176)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.