girya-e-shaitan
ho rahā thā ek din ik raah se merā guzar
yak-ba-yak jā kar paḌī shaitān par merī nazar
chahko-pahko ro rahā thā do jahāñ ke sāmne
nauha-ḳhvāñ thā dosto vo ik makāñ ke sāmne
maiñ ne pūchā ro rahā hai kis liye ḳhāna-ḳharāb
rañg laayā aaj kyā allāh kā tujh par itaab
aur dahāḌeñ maar ke rone lagā vo dil-hazīñ
ḳhauf hai bandoñ kā maiñ allāh se Dartā nahīñ
dekh liije hazrat-e-'sāġhar' ye hai us kā makāñ
ho rahā thā gardish-e-ayyām se jo be-nishāñ
maiñ ne samjhāyā karo mat vaqt ko apne ḳharāb
maiñ ne batlāyā ki tum khīñchā karo kachchī sharāb
kaam aa.egī jahāñ meñ bas tumhāre taskarī
pher do tum mulk o millat ke saroñ par bhī chhurī
barkateñ baaqī nahīñ haiñ yaar kār-e-nek meñ
fā.eda hī fā.eda hai āj-kal ismek meñ
hai zarūrī is zamāne meñ zamāne ke liye
kaam number do kā kachche ghar banāne ke liye
banda-e-iblīs kī ye hoshiyārī dekhiye
baap kī daulat samajh kar de dī saarī dekhiye
sab diyā hai maiñ ne us ko us ne phir bhī likh diyā
kārnāmoñ par mire min-fazl-e-rabbī likh diyā
aadmī shaitān se aage hai har har aib meñ
rahne ko achchhā makāñ hai aur jannat jeb meñ
ho raha tha ek din ek rah se mera guzar
yak-ba-yak ja kar paDi shaitan par meri nazar
chahko-pahko ro raha tha do jahan ke samne
nauha-KHwan tha dosto wo ek makan ke samne
main ne pucha ro raha hai kis liye KHana-KHarab
rang laya aaj kya allah ka tujh par itab
aur dahaDen mar ke rone laga wo dil-hazin
KHauf hai bandon ka main allah se Darta nahin
dekh lije hazrat-e-'saghar' ye hai us ka makan
ho raha tha gardish-e-ayyam se jo be-nishan
main ne samjhaya karo mat waqt ko apne KHarab
main ne batlaya ki tum khincha karo kachchi sharab
kaam aaegi jahan mein bas tumhaare taskari
pher do tum mulk o millat ke saron par bhi chhuri
barkaten baqi nahin hain yar kar-e-nek mein
faeda hi faeda hai aaj-kal ismek mein
hai zaruri is zamane mein zamane ke liye
kaam number do ka kachche ghar banane ke liye
banda-e-iblis ki ye hoshiyari dekhiye
bap ki daulat samajh kar de di sari dekhiye
sab diya hai main ne us ko us ne phir bhi likh diya
karnamon par mere min-fazl-e-rabbi likh diya
aadmi shaitan se aage hai har har aib mein
rahne ko achchha makan hai aur jannat jeb mein
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 38)
- Author : saghar khyaamii
- Publication : fareed book depot (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.