haal se behaal jaise log hain
haal se behāl jaise log haiñ
hippiyoñ ke baal jaise log haiñ
muflis-o-kangāl jaise log haiñ
ye mere sasurāl jaise log haiñ
phuul jaate haiñ zarā sī baat par
kyā chane kī daal jaise log haiñ
gul se ḳhālī aur kāñToñ se bhare
khejḌe kī Daal jaise log haiñ
aa ke hāthoñ meñ phisal jaate haiñ ye
reshmī rūmāl jaise log haiñ
ek kone meñ paḌe haiñ be-hisāb
lakḌiyoñ kī Taal jaise log haiñ
terī rāhoñ meñ bichhe haiñ har taraf
dekh le tirpāl jaise log haiñ
Dho rahe haiñ zindagī ke bojh ko
ham sabhī hammāl jaise log haiñ
'be-takalluf' dushT ik tū hī nahīñ
aur bhī chanDāl jaise log haiñ
haal se behaal jaise log hain
hippiyon ke baal jaise log hain
muflis-o-kangal jaise log hain
ye mere sasural jaise log hain
phul jate hain zara si baat par
kya chane ki dal jaise log hain
gul se KHali aur kanTon se bhare
khejDe ki Dal jaise log hain
aa ke hathon mein phisal jate hain ye
reshmi rumal jaise log hain
ek kone mein paDe hain be-hisab
lakDiyon ki Tal jaise log hain
teri rahon mein bichhe hain har taraf
dekh le tirpal jaise log hain
Dho rahe hain zindagi ke bojh ko
hum sabhi hammal jaise log hain
'be-takalluf' dushT ek tu hi nahin
aur bhi chanDal jaise log hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.