hum neutral hain Khaarja hikmat ke bab mein
ham neutral haiñ ḳhārja hikmat ke baab meñ
nai haath baag par haiñ na pā haiñ rikāb meñ
yuuñ kāñptā hai shaiḳh ḳhayāl-e-sharāb se
jaise kabhī ye Duub gayā thā sharāb meñ
is baat par bhī ham ne ka.ī baab likh diye
jo baat rah ga.ī thī ḳhudā kī kitāb meñ
tanqīd-e-jām-o-mai to bahut ho chukī huzūr
ab kyā ḳhayāl hai ġham-e-hastī ke baab meñ
rindoñ kī be-hisī bhī ḳhabar-dār chiiz thī
aksar jhagaḌ paḌe haiñ hisāb-o-kitāb meñ
lutf is mushā.ire meñ milā coktel kā
jamunā kā ras bhī aan milā hai chanāb meñ
hum neutral hain KHarja hikmat ke bab mein
nai hath bag par hain na pa hain rikab mein
yun kanpta hai shaiKH KHayal-e-sharab se
jaise kabhi ye Dub gaya tha sharab mein
is baat par bhi hum ne kai bab likh diye
jo baat rah gai thi KHuda ki kitab mein
tanqid-e-jam-o-mai to bahut ho chuki huzur
ab kya KHayal hai gham-e-hasti ke bab mein
rindon ki be-hisi bhi KHabar-dar chiz thi
aksar jhagaD paDe hain hisab-o-kitab mein
lutf is mushaire mein mila coktel ka
jamuna ka ras bhi aan mila hai chanab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.