Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum roz jo laDte hain tamasha nahin hota

Rauf Raheem

hum roz jo laDte hain tamasha nahin hota

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    ham roz jo laḌte haiñ tamāshā nahīñ hotā

    ma.amūl jhagḌā koī jhagḌā nahīñ hotā

    maiñ bachche khilātā huuñ to vo jaate haiñ picture

    ye roz rātib hai jo nāġha nahīñ hotā

    leader ye pahchān ki vo phūltā jaa.e

    shā.ir ye pahchān ki moTā nahīñ hotā

    har ek mulāzim hai ye haal ki ghar meñ

    chāval nahīñ hote kabhī aaTā nahīñ hotā

    ye soch ki lauTātā nahīñ qarz kisī

    ahbāb se māñgā huā qarzā nahīñ hotā

    gar lāTrī uTh jaa.e to kyā ThaaT se guzre

    ye ḳhvāb hai andhoñ jo puurā nahīñ hotā

    har chiiz qillat hai 'rahīm' aaj vatan meñ

    afsos ki kumba koī chhoTā nahīñ hotā

    hum roz jo laDte hain tamasha nahin hota

    mamul ka jhagDa koi jhagDa nahin hota

    main bachche khilata hun to wo jate hain picture

    ye roz ka raatib hai jo nagha nahin hota

    leader ki ye pahchan ki wo phulta jae

    shair ki ye pahchan ki moTa nahin hota

    har ek mulazim ka hai ye haal ki ghar mein

    chawal nahin hote kabhi aaTa nahin hota

    ye soch ki lauTata nahin qarz kisi ka

    ahbab se manga hua qarza nahin hota

    gar laTri uTh jae to kya ThaT se guzre

    ye KHwab hai andhon ka jo pura nahin hota

    har chiz ki qillat hai 'rahim' aaj watan mein

    afsos ki kumba koi chhoTa nahin hota

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now