hum un ko lae rah par mazaq hi mazaq mein
ham un ko laa.e raah par mazāq hī mazāq meñ
bane phir un ke ham-safar mazāq hī mazāq meñ
paḌe rahe phir un ke ghar mazāq hī mazāq meñ
maze se ho ga.ī basar mazāq hī mazāq meñ
huā hai jadde meñ jo ik mazāhiya mushā.era
ham aa ga.e ḳhudā ke ghar mazāq hī mazāq meñ
latīfa-goī kā jo raat chal paḌā thā silsila
ubal paḌe ka.ī gutter mazāq hī mazāq meñ
uTho ki ab namāz-e-fazr ke liye vuzū kareñ
ki raat to ga.ī guzar mazāq hī mazāq meñ
yahāñ 'ināyat' aap ko mushā.eron kī daad ne
chaḌhā diyā hai baañs par mazāq hī mazāq meñ
hum un ko lae rah par mazaq hi mazaq mein
bane phir un ke ham-safar mazaq hi mazaq mein
paDe rahe phir un ke ghar mazaq hi mazaq mein
maze se ho gai basar mazaq hi mazaq mein
hua hai jadde mein jo ek mazahiya mushaera
hum aa gae KHuda ke ghar mazaq hi mazaq mein
latifa-goi ka jo raat chal paDa tha silsila
ubal paDe kai gutter mazaq hi mazaq mein
uTho ki ab namaz-e-fazr ke liye wuzu karen
ki raat to gai guzar mazaq hi mazaq mein
yahan 'inayat' aap ko mushaeron ki dad ne
chaDha diya hai bans par mazaq hi mazaq mein
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 104)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.