hamare bhi hain mehrban
in ko ham apnā dost likheñ āshnā likheñ
hamdam likheñ rafīq likheñ ham-navā likheñ
sher-o-adab se un ko ta'alluq hai kis qadar
tāqat kahāñ qalam meñ ki ye mājrā likheñ
likhne meñ kuchh na kuchh haiñ vo masrūf rāt-din
kāġhaz qalam davāt meñ un ko fanā likheñ
naqd-o-nazar meñ hai vo mahārat ke ham unheñ
iqlīm-e-nazm-o-nasr kā farmāñ-ravā likheñ
yaktā ho apne fan meñ likhāḌī huā kare
dil ko nahīñ lagā to use sar-phirā likheñ
tahtus-surā se arsh-e-barīñ ek aan meñ
pahuñche vo ḳhush-nasīb jise marhabā likheñ
itnā hī ham likheñ ki samajh paa.eñ vo use
un kī pahuñch se ham na kabhī māvarā likheñ
saaqī kā aur sharāb kā ho zikr baar baar
zāhid ko bhuul kar na kabhī pārsā likheñ
mahbūb ke bayāñ meñ ho lāzim mubālaġha
chehre ko phuul zulf ko ham azhdahā likheñ
mumkin nahīñ ġhazab se bacheñ ham janāb ke
bālishtiyoñ ko bhī na agar sarv sā likheñ
lāzim hai ham pe ham jo likheñ bahr meñ rahe
ham-vazn-o-ham-radīf likheñ qāfiya likheñ
likhne meñ ehtiyāt se ham kaam leñ magar
jo un ke jī meñ aa.e use barmalā likheñ
likkhe muqaddama to musannif ba-qalam-e-ḳhud
lekin hai ye aTal ki vahī faisla likheñ
do jildeñ is liye unheñ bhejīñ kitāb kī
be-lāg apnī raa.e likheñ tabsira likheñ
bole vo dekh kar mirā majmūa-e-kalām
pahle pe kyā likhūñ chaleñ ab dūsrā likheñ
in ko hum apna dost likhen aashna likhen
hamdam likhen rafiq likhen ham-nawa likhen
sher-o-adab se un ko ta'alluq hai kis qadar
taqat kahan qalam mein ki ye majra likhen
likhne mein kuchh na kuchh hain wo masruf raat-din
kaghaz qalam dawat mein un ko fana likhen
naqd-o-nazar mein hai wo mahaarat ke hum unhen
iqlim-e-nazm-o-nasr ka farman-rawa likhen
yakta ho apne fan mein likhaDi hua kare
dil ko nahin laga to use sar-phira likhen
tahtus-sura se arsh-e-barin ek aan mein
pahunche wo KHush-nasib jise marhaba likhen
itna hi hum likhen ki samajh paen wo use
un ki pahunch se hum na kabhi mawara likhen
saqi ka aur sharab ka ho zikr bar bar
zahid ko bhul kar na kabhi parsa likhen
mahbub ke bayan mein ho lazim mubaalagha
chehre ko phul zulf ko hum azhdaha likhen
mumkin nahin ghazab se bachen hum janab ke
baalishtiyon ko bhi na agar sarw sa likhen
lazim hai hum pe hum jo likhen bahr mein rahe
ham-wazn-o-ham-radif likhen qafiya likhen
likhne mein ehtiyat se hum kaam len magar
jo un ke ji mein aae use barmala likhen
likkhe muqaddama to musannif ba-qalam-e-KHud
lekin hai ye aTal ki wahi faisla likhen
do jilden is liye unhen bhejin kitab ki
be-lag apni rae likhen tabsira likhen
bole wo dekh kar mera majmua-e-kalam
pahle pe kya likhun chalen ab dusra likhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.