hamein hamari biwiyon se bachao
ye pil paḌtī haiñ ham par jab bhī ham daftar se aate haiñ
halākū-ḳhāñ se yā chañgez-ḳhāñ se in ke naate haiñ
na uTh kar pañkhā jhaltī haiñ na detī haiñ hameñ paanī
pasīna apnā ham to ThanDī aahoñ se sukhāte haiñ
unheñ lāzim hai jab ham aa.eñ ye jhuk kar qadam chhū leñ
majāzī ham ḳhudā haiñ phir bhī un par rahm khāte haiñ
uḌā letī haiñ sab naqadī talāshī jeb kī le kar
ham apnī hī kamā.ī un se Dar Dar ke chhupāte haiñ
kuchh income-tex le jaatā hai kuchh biivī uḌātī hai
qasam allāh kī shauhar bahut daulat kamāte haiñ
sahelī in kī aa jaa.e to samjho iid hai un kī
bigaḌ jaatī haiñ jab ham dostoñ ko ghar bulāte haiñ
nahīñ jātīñ kabhī bāvarchī-ḳhāne meñ ye bhūle se
kamātā hai bahut aaqā maze naukar uḌāte haiñ
bahāna kar ke dard-e-sar kā aksar leT jaatī haiñ
na ho naukar agar ghar meñ to ham chaa.e banāte haiñ
hai un kā kaam ronā paan khānā yā bigaḌ jaanā
kareñ kyā bā-dil nā-ḳhvāsta un ko manāte haiñ
ḳhudāyā aaj ke shauhar haiñ yā māsūm bachche haiñ
zarā sā ghuur le biivī to jhaT ye saham jaate haiñ
ye jab rotī haiñ ham apne kaleje thaam lete haiñ
siyāhī chuus le kar un ke aañsū ham sukhāte haiñ
hajāmat roz kar detī haiñ ye ġhusse kī qaiñchī se
ġhanīmat hai ki apnī shev to ham ḳhud banāte haiñ
azaañ jab murġh detā hai samajhtī haiñ ye lorī hai
unheñ murġhe sulāte haiñ, hameñ murġhe jagāte haiñ
chale jaate haiñ khā kar rūkhī-sūkhī apne daftar ko
bichāre mard sab ro-ro ke apne din bitāte haiñ
ba-roz-e-hashr jaise bhī haiñ shauhar baḳhshe jā.eñge
sadā jo bīviyoñ ke zulm sah kar muskurāte haiñ
kabhī āzād the ham haa.e is qaid-e-ġhulāmī se
vo din kitne the achchhe haa.e vo din yaad aate haiñ
ye pil paDti hain hum par jab bhi hum daftar se aate hain
halaku-KHan se ya changez-KHan se in ke nate hain
na uTh kar pankha jhalti hain na deti hain hamein pani
pasina apna hum to ThanDi aahon se sukhate hain
unhen lazim hai jab hum aaen ye jhuk kar qadam chhu len
majazi hum KHuda hain phir bhi un par rahm khate hain
uDa leti hain sab naqadi talashi jeb ki le kar
hum apni hi kamai un se Dar Dar ke chhupate hain
kuchh income-tex le jata hai kuchh biwi uDati hai
qasam allah ki shauhar bahut daulat kamate hain
saheli in ki aa jae to samjho id hai un ki
bigaD jati hain jab hum doston ko ghar bulate hain
nahin jatin kabhi bawarchi-KHane mein ye bhule se
kamata hai bahut aaqa maze naukar uDate hain
bahana kar ke dard-e-sar ka aksar leT jati hain
na ho naukar agar ghar mein to hum chae banate hain
hai un ka kaam rona pan khana ya bigaD jaana
karen kya ba-dil na-KHwasta un ko manate hain
KHudaya aaj ke shauhar hain ya masum bachche hain
zara sa ghur le biwi to jhaT ye saham jate hain
ye jab roti hain hum apne kaleje tham lete hain
siyahi chus le kar un ke aansu hum sukhate hain
hajamat roz kar deti hain ye ghusse ki qainchi se
ghanimat hai ki apni shew to hum KHud banate hain
azan jab murgh deta hai samajhti hain ye lori hai
unhen murghe sulate hain, hamein murghe jagate hain
chale jate hain kha kar rukhi-sukhi apne daftar ko
bichaare mard sab ro-ro ke apne din bitate hain
ba-roz-e-hashr jaise bhi hain shauhar baKHshe jaenge
sada jo biwiyon ke zulm sah kar muskuraate hain
kabhi aazad the hum hae is qaid-e-ghulami se
wo din kitne the achchhe hae wo din yaad aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.