hamein koi matlab nahin la-makan se
hamein koi matlab nahin la-makan se
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi
hameñ koī matlab nahīñ lā-makāñ se
ġharaz hai hameñ sirf apne makāñ se
ġhamoñ kā ye aalam hai jaane kahāñ se
chale aa rahe haiñ yahāñ se vahāñ se
nikāle ga.e haiñ jo ham āshiyāñ se
shikāyat nahīñ hai hameñ bāġhbāñ se
kahīñ barq par bijliyāñ na girī hoñ
ye sho.ala sā uThtā hai kyoñ āsmāñ se
jalā hī nahīñ to dhuāñ kyā uThegā
mire narm-o-nāzuk dil-e-nā-tavāñ se
barastī nahīñ mūslā-dhār ḳhushiyāñ
utartī haiñ ye buuñd buuñd āsmāñ se
nazar merī achchhī hai phir ye nazāre
nazar aa rahe haiñ mujhe kyoñ dhuāñ se
laTaktī hai talvār sar par hamesha
bachā.e ḳhudā aise amn-o-amāñ se
kisī kī nazar 'ḳhvāh-maḳhvāh' lag na jaa.e
buḌhāpe meñ lagte ho tum naujavāñ se
hamein koi matlab nahin la-makan se
gharaz hai hamein sirf apne makan se
ghamon ka ye aalam hai jaane kahan se
chale aa rahe hain yahan se wahan se
nikale gae hain jo hum aashiyan se
shikayat nahin hai hamein baghban se
kahin barq par bijliyan na giri hon
ye shoala sa uThta hai kyon aasman se
jala hi nahin to dhuan kya uThega
mere narm-o-nazuk dil-e-na-tawan se
barasti nahin musla-dhaar KHushiyan
utarti hain ye bund bund aasman se
nazar meri achchhi hai phir ye nazare
nazar aa rahe hain mujhe kyon dhuan se
laTakti hai talwar sar par hamesha
bachae KHuda aise amn-o-aman se
kisi ki nazar 'KHwah-maKHwah' lag na jae
buDhape mein lagte ho tum naujawan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.