hansi
mizāh o tanz ke jab tiir baiTheñge nishāne par
jo dīvāne haiñ un kī aql aa.egī Thikāne par
hañsī kā silsila to 'ḳhvāh-maḳhvāh' chaltā hī rahtā hai
zamāna mujh pe hañstā hai maiñ hañstā huuñ zamāne par
kaThin rāhoñ meñ jaise ham-safar bhī chhūT jaate haiñ
isī tarah safar meñ aable bhī phuuT jaate haiñ
mizāh-go huuñ magar ḳhud is liye hañsne se Dartā huuñ
hañsī se 'ḳhvāh-maḳhvāh' zaḳhmoñ ke Tāñke TuuT jaate haiñ
koī qissa hai na kahānī hai
baat jo aap ko sunānī hai
rañj aur ġham ḳhushī ke partav haiñ
aur hañsī ġham kī tarjumānī hai
tum apne dil meñ na shikva na kuchh gila rakhnā
laboñ pe sirf tabassum kā silsila rakhnā
hai zabt-e-ġham jo zarūrī to ye bhī lāzim hai
jo ro na paao to hañsne kā hausla rakhnā
ye jo muñh meñ dabī dabī hai kyā
gar hañsī hai to ye hañsī hai kyā
ye batāo gale meñ kyā koī
be-surī meñDkī phañsī hai kyā
sab ḳhatm ho chuke haiñ vo daur sharāfat ke
khulte nahīñ kisī par asrār himāqat ke
apnī hañsī uḌā kar kitne hī ġham uThā kar
sīkhe haiñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' ne andāz zarāfat ke
mizah o tanz ke jab tir baiThenge nishane par
jo diwane hain un ki aql aaegi Thikane par
hansi ka silsila to 'KHwah-maKHwah' chalta hi rahta hai
zamana mujh pe hansta hai main hansta hun zamane par
kaThin rahon mein jaise ham-safar bhi chhuT jate hain
isi tarah safar mein aable bhi phuT jate hain
mizah-go hun magar KHud is liye hansne se Darta hun
hansi se 'KHwah-maKHwah' zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
koi qissa hai na kahani hai
baat jo aap ko sunani hai
ranj aur gham KHushi ke partaw hain
aur hansi gham ki tarjumani hai
tum apne dil mein na shikwa na kuchh gila rakhna
labon pe sirf tabassum ka silsila rakhna
hai zabt-e-gham jo zaruri to ye bhi lazim hai
jo ro na pao to hansne ka hausla rakhna
ye jo munh mein dabi dabi hai kya
gar hansi hai to ye hansi hai kya
ye batao gale mein kya koi
be-suri meinDki phansi hai kya
sab KHatm ho chuke hain wo daur sharafat ke
khulte nahin kisi par asrar himaqat ke
apni hansi uDa kar kitne hi gham uTha kar
sikhe hain 'KHwah-maKHwah' ne andaz zarafat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.