haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha
haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha
Ameerul Islam Hashmi
MORE BYAmeerul Islam Hashmi
hayā girtī huī dīvār thī kal shab jahāñ maiñ thā
nazar uThnā bahut dushvār thī kal shab jahāñ maiñ thā
jinheñ saaḌī meñ aanā thā vo patlūnoñ meñ aa.iiñ thiiñ
tamīz-e-mard-o-zan dushvār thī kal shab jahāñ maiñ thā
nazar ke kofte ruḳh ke parāThe vasl ke sharbat
mukammal dāvat-e-dīdār thī kal shab jahāñ maiñ thā
zuleḳhā.eñ ba-zid thiiñ ek yūsuf ke liye yaaro
baḌī hī garmi-e-bāzār thī kal shab jahāñ maiñ thā
plus-seven kā chashma fiT kiye the dīda-var saare
nazar apnī bhī numbar-dār thī kal shab jahāñ maiñ thā
thirakne nāchne Thumke lagāne ke the sab māhir
saqāfat bar-sar-e-paikār thī kal shab jahāñ maiñ thā
kisī farhād ko hājat na thī tesha uThāne kī
har ik shīrīñ-bayāñ talvār thī kal shab jahāñ maiñ thā
haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha
nazar uThna bahut dushwar thi kal shab jahan main tha
jinhen saDi mein aana tha wo patlunon mein aain thin
tamiz-e-mard-o-zan dushwar thi kal shab jahan main tha
nazar ke kofte ruKH ke paraThe wasl ke sharbat
mukammal dawat-e-didar thi kal shab jahan main tha
zuleKHaen ba-zid thin ek yusuf ke liye yaro
baDi hi garmi-e-bazar thi kal shab jahan main tha
plus-sewen ka chashma fiT kiye the dida-war sare
nazar apni bhi numbar-dar thi kal shab jahan main tha
thirakne nachne Thumke lagane ke the sab mahir
saqafat bar-sar-e-paikar thi kal shab jahan main tha
kisi farhad ko hajat na thi tesha uThane ki
har ek shirin-bayan talwar thi kal shab jahan main tha
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 117)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.