hazal
guzrā na ek saal pata chal gayā mujhe
biivī hai ik vabāl pata chal gayā mujhe
chālīs kī umr thī mujhe pachchīs kī lagī
make-up kā thā kamāl pata chal gayā mujhe
vo motiyoñ se daañt vo lambe siyāh baal
naqlī thā saarā maal pata chal gayā mujhe
vaqt-e-nikāh jeb mirī saaf ho ga.ī
sāloñ kā thā kamāl pata chal gayā mujhe
jis ko samajh rahā thā maiñ zevar kī poTlī
us meñ thā naunihāl pata chal gayā mujhe
aa kar police jahez kā sāmān le ga.ī
qistoñ pe thā vo maal pata chal gayā mujhe
do chaar manziloñ hī pe sāñseñ ukhaḌ ga.iiñ
ghuTnoñ pe hai zavāl pata chal gayā mujhe
guzra na ek sal pata chal gaya mujhe
biwi hai ek wabaal pata chal gaya mujhe
chaalis ki umr thi mujhe pachchis ki lagi
make-up ka tha kamal pata chal gaya mujhe
wo motiyon se dant wo lambe siyah baal
naqli tha sara mal pata chal gaya mujhe
waqt-e-nikah jeb meri saf ho gai
salon ka tha kamal pata chal gaya mujhe
jis ko samajh raha tha main zewar ki poTli
us mein tha naunihaal pata chal gaya mujhe
aa kar police jahez ka saman le gai
qiston pe tha wo mal pata chal gaya mujhe
do chaar manzilon hi pe sansen ukhaD gain
ghuTnon pe hai zawal pata chal gaya mujhe
- Book : Post Martum (Pg. 114)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.