Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn be-bak ka wideo net pe jab wiral ho gaya

Badr Muneer

husn be-bak ka wideo net pe jab wiral ho gaya

Badr Muneer

MORE BYBadr Muneer

    husn-e-bebāk video net pe jab viral ho gayā

    dekhte dekhte merī ‘ainak number double ho gayā

    vā'da-e-vasl par merī kitnī rātoñ nīñdeñ uḌiiñ

    phir mu’ālij ke injectionoñ se mirā baazū shal ho gayā

    muḳhtasar guftugū baa’z logoñ sadiyoñ pe bhārī huī

    ik hasīna ke husn-e-bayāñ se to ghanTa bhī pal ho gayā

    kūcha-e-yār meñ ḳhvāhish-e-‘aqd le kar huī hāzirī

    pai-ba-pai jab savālāt pūchhe ga.e maiñ puzzle ho gayā

    vo milī to mire vāste us pahchān mushkil huī

    ḳhūb-sūrat ġhazal ab badan jis radd-e-ġhazal ho gayā

    qaum ke haq meñ jo bhī tajāvīz thiiñ iltavā meñ rahīñ

    jin meñ zaatī mafādāt the un pe fauran 'amal ho gayā

    husn-e-bebak ka wideo net pe jab wiral ho gaya

    dekhte dekhte meri ‘ainak ka number double ho gaya

    wa'da-e-wasl par meri kitni hi raaton ki ninden uDin

    phir mu’alij ke injectionon se mera bazu shal ho gaya

    muKHtasar guftugu ba’z logon ki sadiyon pe bhaari hui

    ek hasina ke husn-e-bayan se to ghanTa bhi pal ho gaya

    kucha-e-yar mein KHwahish-e-‘aqd le kar hui haziri

    pai-ba-pai jab sawalat puchhe gae main puzzle ho gaya

    wo mili to mere waste us ki pahchan mushkil hui

    KHub-surat ghazal ab badan jis ka radd-e-ghazal ho gaya

    qaum ke haq mein jo bhi tajawiz thin iltawa mein rahin

    jin mein zati mafadat the un pe fauran 'amal ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now