ek chhoDo ho ek aur jo miss mat karo ho
ik chhoḌo ho ik aur jo miss maat karo ho
har saal ye kyā qibla-e-hājāt karo ho
samjho ho kahāñ auroñ ko tum apne barābar
bas muñh se musāvāt musāvāt karo ho
kyā husn kī daulat bhī kabhī bāñTo ho sāhib
sunñe meñ to aayā hai ki ḳhairāt karo ho
mil jā.ūñ to karte ho na milne kī shikāyat
ghar aa.uuñ to ḳhātir na mudārāt karo ho
ham zāt-e-sharīf aa.e haiñ is dar pe ye sun kar
tum hañs ke sharīfoñ se mulāqāt karo ho
uTThe kahāñ baiThe kahāñ kab aa.e ga.e kab
begam kī tarah tum bhī hisābāt karo ho
ek chhoDo ho ek aur jo miss mat karo ho
har sal ye kya qibla-e-hajat karo ho
samjho ho kahan auron ko tum apne barabar
bas munh se musawat musawat karo ho
kya husn ki daulat bhi kabhi banTo ho sahib
sunne mein to aaya hai ki KHairaat karo ho
mil jaun to karte ho na milne ki shikayat
ghar aaun to KHatir na mudaraat karo ho
hum zat-e-sharif aae hain is dar pe ye sun kar
tum hans ke sharifon se mulaqat karo ho
uTThe kahan baiThe kahan kab aae gae kab
begam ki tarah tum bhi hisabaat karo ho
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 116)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.