ek rail ke safar ki taswir khinchta hun
isī meñ millat-e-baizā samā jā kuud jā bhar jā
tirī qismat meñ likkhā jā chukā hai tīsrā darja
na gunjā.ish ko dekh is meñ na tū mardum-shumārī kar
lañgoTī kas ḳhudā kā naam le ghus jā savārī kar
vo khiḌkī se kisī ne morcha-bandoñ ko lalkārā
phir apne sar kā gaThrā dūsroñ ke sar pe de maarā
kasī ne dūsrī khiḌkī se jab dekhā ye nazzārā
zamīñ par aa rahā dham se koī tāj-e-sar-e-dārā
agar ye railway kā silsila īrān jā pahuñche
to sikkhar par utartā shaḳhs asfahān jā pahuñche
ye saare khet ke ganne kaTā laayā hai Dabbe meñ
vo ghar kī chārpā.ī tak uThā laayā hai Dabbe meñ
khaḌe huqqe ba-ma.a-mīnār--eātish-dān to dekho
ye qaum-e-be-e-sar-o-sāmān kā sāmān to dekho
vo ik rassī meñ puurā lāv-lashkar bāñdh laa.e haiñ
ye bistar meñ hazāroñ tiir nashtar bāñdh laa.e haiñ
surāhī se ghaḌā roTī se dastar-ḳhvān laḌtā hai
musāfir ḳhud nahīñ laḌtā magar sāmān laḌtā hai
vo ik dānā-e-gul logoñ meñ yuuñ ghul-mil ke baiThe haiñ
razā.ī meñ jo yuuñ baiThe haiñ goyā sil ke baiThe haiñ
avāmunnās ko dars-e-falāh-e-ām dete haiñ
bahar-sū thūkne kā farz bhī anjām dete haiñ
idhar kone meñ jo ik majlis-e-bedār baiThī hai
kirā.e par election ke liye tayyār baiThī hai
siyāsat meñ damā-dam apnā chamcha mārte jaa.eñ
agarche hārte jaa.eñ magar lalkārte jaa.eñ
baḌe lauñDe ko maulā-baḳhsh-jī kitnā paḌhāoge!
''use b-a pe rokoge ki LLB karāoge!''
vo b-a hai magar b-a kī ḳhū aa.ī nahīñ us ko
abhī maañ baap ke kapḌoñ se bū aa.ī nahīñ us ko
baham yuuñ guftugū meñ āshnā.ī hotī jaatī hai
laḌā.ī hotī jaatī hai safā.ī hotī jaatī hai
isi mein millat-e-baiza sama ja kud ja bhar ja
teri qismat mein likkha ja chuka hai tisra darja
na gunjaish ko dekh is mein na tu mardum-shumari kar
langoTi kas KHuda ka nam le ghus ja sawari kar
wo khiDki se kisi ne morcha-bandon ko lalkara
phir apne sar ka gaThra dusron ke sar pe de mara
kasi ne dusri khiDki se jab dekha ye nazzara
zamin par aa raha dham se koi taj-e-sar-e-dara
agar ye railway ka silsila iran ja pahunche
to sikkhar par utarta shaKHs asfahan ja pahunche
ye sare khet ke ganne kaTa laya hai Dabbe mein
wo ghar ki chaarpai tak uTha laya hai Dabbe mein
khaDe huqqe ba-ma-minar--eatish-dan to dekho
ye qaum-e-be-e-sar-o-saman ka saman to dekho
wo ek rassi mein pura law-lashkar bandh lae hain
ye bistar mein hazaron tir nashtar bandh lae hain
surahi se ghaDa roTi se dastar-KHwan laDta hai
musafir KHud nahin laDta magar saman laDta hai
wo ek dana-e-gul logon mein yun ghul-mil ke baiThe hain
razai mein jo yun baiThe hain goya sil ke baiThe hain
awamunnas ko dars-e-falah-e-am dete hain
bahar-su thukne ka farz bhi anjam dete hain
idhar kone mein jo ek majlis-e-bedar baiThi hai
kirae par election ke liye tayyar baiThi hai
siyasat mein dama-dam apna chamcha marte jaen
agarche haarte jaen magar lalkarte jaen
baDe launDe ko maula-baKHsh-ji kitna paDhaoge!
use b-a pe rokoge ki LLB karaoge!
wo b-a hai magar b-a ki KHu aai nahin us ko
abhi man bap ke kapDon se bu aai nahin us ko
baham yun guftugu mein aashnai hoti jati hai
laDai hoti jati hai safai hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.