irada kya hai
ġham ke tūfāñ se guzarne kā irāda kyā hai
Duub ke paar utarne kā irāda kyā hai
byaah ke baare meñ pūchhā to nujūmī bolā
shāḳh se TuuT ke jhaḌne kā irāda kyā hai
mere isrār pe us ne ye kahā tañg aakar
aap kā ḳhud-kushī karne kā irāda kyā hai
'ḳhvāh-maḳhvāh' aap qarīb aa to ga.e haiñ mere
boliye phir se bichhaḌne kā irāda kyā hai
gham ke tufan se guzarne ka irada kya hai
Dub ke par utarne ka irada kya hai
byah ke bare mein puchha to nujumi bola
shaKH se TuT ke jhaDne ka irada kya hai
mere israr pe us ne ye kaha tang aakar
aap ka KHud-kushi karne ka irada kya hai
'KHwah-maKHwah' aap qarib aa to gae hain mere
boliye phir se bichhaDne ka irada kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.