is ka abba hi pahlawan tha achchha-KHasa
us kā abbā hī pahlavān thā achchhā-ḳhāsā
varna shādī kā to imkān thā achchhā-ḳhāsā
us kī ammāñ se pareshān na thā maiñ hī faqat
merā abbā bhī pareshān thā achchhā-ḳhāsā
shaiḳh-sāhab ne masā.il meñ jakaḌ rakkhā hai
varna islām to āsān thā achchhā ḳhāsā
husn ko us ke nazar lagtī to kaise lagtī
us ke ik gaal pe makrān thā achchhā-ḳhāsā
us ke bachche nahīñ thakte mujhe māmūñ kahte
jis kī jānib mirā ruj.hān thā achchhā-ḳhāsā
us ka abba hi pahlawan tha achchha-KHasa
warna shadi ka to imkan tha achchha-KHasa
us ki amman se pareshan na tha main hi faqat
mera abba bhi pareshan tha achchha-KHasa
shaiKH-sahab ne masail mein jakaD rakkha hai
warna islam to aasan tha achchha KHasa
husn ko us ke nazar lagti to kaise lagti
us ke ek gal pe makran tha achchha-KHasa
us ke bachche nahin thakte mujhe mamun kahte
jis ki jaanib mera rujhan tha achchha-KHasa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.