jada-e-fan mein baDe saKHt maqam aate hain
jāda-e-fan meñ baḌe saḳht maqām aate haiñ
mar ke rah jaatā hai fankār amar hone tak
kitne ġhālib the jo paidā hue aur mar bhī ga.e
qadr-dānoñ ko taḳhallus kī ḳhabar hone tak
kitne iqbāl rah-e-fikr meñ uTThe lekin
rāsta bhuul ga.e ḳhatm-e-safar hone tak
kitne shabbīr-hasan-ḳhāñ na bane 'josh' kabhī
mar ga.e kitne sikandar bhī jigar hone tak
'faiz' kā rañg bhī ash.ār meñ aa saktā thā
uñgliyāñ saath to deñ ḳhuun meñ tar hone tak
chand zarroñ hī ko miltī hai ziyā-e-ḳhurshīd
chand taare hī chamakte haiñ sahar hone tak
dil-e-shā.ir pe kuchh aisī hī guzartī hai 'figār'
jo kisī qatre pe guzre hai guhar hone tak
jada-e-fan mein baDe saKHt maqam aate hain
mar ke rah jata hai fankar amar hone tak
kitne ghaalib the jo paida hue aur mar bhi gae
qadr-danon ko taKHallus ki KHabar hone tak
kitne iqbaal rah-e-fikr mein uTThe lekin
rasta bhul gae KHatm-e-safar hone tak
kitne shabbir-hasan-KHan na bane 'josh' kabhi
mar gae kitne sikandar bhi jigar hone tak
'faiz' ka rang bhi ashaar mein aa sakta tha
ungliyan sath to den KHun mein tar hone tak
chand zarron hi ko milti hai ziya-e-KHurshid
chand tare hi chamakte hain sahar hone tak
dil-e-shair pe kuchh aisi hi guzarti hai 'figar'
jo kisi qatre pe guzre hai guhar hone tak
- Book : Junoon (Pg. 75)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.