jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha
jab bhī tujhe dekhā kisī bohrān meñ dekhā
nisyān meñ dekhā kabhī hizyān meñ dekhā
gobhī bhī hai gar phuul to bas itnā batā de
collar meñ kabhī yā kabhī gul-dān meñ dekhā
aisā na ho babban ko koī chiil uchak le
nañgā use dekhā kabhī banyān meñ dekhā
biivī ne dabā rakkhā hai ab TeTuā shāyad
maiñ ne jo use hāl-e-pareshān meñ dekhā
kahte haiñ ki lailā kā ta.alluq thā arab se
ye rañg to africa o makrān meñ dekhā
ras ganne kā piine ko milā ḳhuub hameñ bhī
ye fā.eda dekhā hai to yarqān meñ dekhā
pistol chhupā rakkhā thā patlūn meñ maiñ ne
custam ke sipāhī ne jo sāmān meñ dekhā
vo chor thā yā āshiq-e-dil-gīr kisī kā
dīvār pe chaḌhte jise dālān meñ dekhā
jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha
nisyan mein dekha kabhi hizyan mein dekha
gobhi bhi hai gar phul to bas itna bata de
collar mein kabhi ya kabhi gul-dan mein dekha
aisa na ho babban ko koi chil uchak le
nanga use dekha kabhi banyan mein dekha
biwi ne daba rakkha hai ab TeTua shayad
main ne jo use haal-e-pareshan mein dekha
kahte hain ki laila ka talluq tha arab se
ye rang to africa o makran mein dekha
ras ganne ka pine ko mila KHub hamein bhi
ye faeda dekha hai to yarqan mein dekha
pistol chhupa rakkha tha patlun mein main ne
custam ke sipahi ne jo saman mein dekha
wo chor tha ya aashiq-e-dil-gir kisi ka
diwar pe chaDhte jise dalan mein dekha
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 50)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.