jab namak dal mein kam ho to ghazal hoti hai
jab namak daal meñ kam ho to ġhazal hotī hai
mirch sabzī meñ baham ho to ġhazal hotī hai
bhuuk aur pyaas kī shiddat se agar shā'ir ke
peT meñ phūTtā bam ho to ġhazal hotī hai
muflisī qarz za'īfī o tap-e-diq ke sivā
dil ko kuchh aur bhī ġham ho to ġhazal hotī hai
apnī tanḳhvāh bhī ho der se milne vaalī
aur sāmān bhī kam ho to ġhazal hotī hai
apnī aamad se ho kam ḳharch ki zaa.id yaaro
fikr se naak meñ dam ho to ġhazal hotī hai
guDDū lallī kī tarah ghar meñ kisī shā'ir ke
ziddī bachchoñ kā janam ho to ġhazal hotī hai
dum jo ho TeḌhī bhī kutiyā kī to ik she'r na ho
zulf-e-māshūq meñ ḳham ho to ġhazal hotī hai
ye bhī suntā huuñ madakchīyoñ ke muñh se aksar
aag par auñdhī chilam ho to ġhazal hotī hai
she'r-goī nahīñ mauqūf hasīñ lafzoñ par
ḳhūn-e-dil jal ke bhasam ho to ġhazal hotī hai
aa'lā tā'līm-o-sanad bhī nahīñ rah meñ haa.il
ham-navā zor-e-qalam ho to ġhazal hotī hai
raat meñ machchhar-o-khaTmal kā kisī shā'ir par
be-tahāshā jo karam ho to ġhazal hotī hai
hijr kī raat jo baḌh jaa.e to raunaq aa jaa.e
vasl kī 'umr bhī kam ho to ġhazal hotī hai
chorī kā halva kahīñ khāne kī sā'at 'jauhar'
chashm-e-begam kā karam ho to ġhazal hotī hai
jab namak dal mein kam ho to ghazal hoti hai
mirch sabzi mein baham ho to ghazal hoti hai
bhuk aur pyas ki shiddat se agar sha'ir ke
peT mein phuTta bam ho to ghazal hoti hai
muflisi qarz za'ifi o tap-e-diq ke siwa
dil ko kuchh aur bhi gham ho to ghazal hoti hai
apni tanKHwah bhi ho der se milne wali
aur saman bhi kam ho to ghazal hoti hai
apni aamad se ho kam KHarch ki zaid yaro
fikr se nak mein dam ho to ghazal hoti hai
guDDu lalli ki tarah ghar mein kisi sha'ir ke
ziddi bachchon ka janam ho to ghazal hoti hai
dum jo ho TeDhi bhi kutiya ki to ek she'r na ho
zulf-e-mashuq mein KHam ho to ghazal hoti hai
ye bhi sunta hun madakchiyon ke munh se aksar
aag par aundhi chilam ho to ghazal hoti hai
she'r-goi nahin mauquf hasin lafzon par
KHun-e-dil jal ke bhasam ho to ghazal hoti hai
aa'la ta'lim-o-sanad bhi nahin rah mein hail
ham-nawa zor-e-qalam ho to ghazal hoti hai
raat mein machchhar-o-khaTmal ka kisi sha'ir par
be-tahasha jo karam ho to ghazal hoti hai
hijr ki raat jo baDh jae to raunaq aa jae
wasl ki 'umr bhi kam ho to ghazal hoti hai
chori ka halwa kahin khane ki sa'at 'jauhar'
chashm-e-begam ka karam ho to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.