jab se unki dum ka chhalla ban gae
jab se un kī dum kā chhallā ban ga.e
ham akele the mohalla ban ga.e
saal bhar meñ yā-ḳhudā ye kyā huā
mard se ham uī allāh ban ga.e
ban gayā jis vaqt maiñ nafrat kī geñd
sab chilam-bardār ballā ban ga.e
husn jab biivī banā ham is ke ba.ad
nuun lakḌī tel ġhalla ban ga.e
shāñtī vāloñ se jab kursī chhinī
sab ke sab haḌboñg hallā ban ga.e
dekhte hī un ko jebeñ saaf thiiñ
ek jalve meñ mujalla ban ga.e
jab se un ki dum ka chhalla ban gae
hum akele the mohalla ban gae
sal bhar mein ya-KHuda ye kya hua
mard se hum ui allah ban gae
ban gaya jis waqt main nafrat ki gend
sab chilam-bardar balla ban gae
husn jab biwi bana hum is ke baad
nun lakDi tel ghalla ban gae
shanti walon se jab kursi chhini
sab ke sab haDbong halla ban gae
dekhte hi un ko jeben saf thin
ek jalwe mein mujalla ban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.