jab sham jannat mein hui
jab shaam jannat meñ huī
bāġhoñ meñ har-sū ghuum kar
hūreñ mirī ghar aa ga.iiñ
chūmā har ik kā maiñ ne muñh
chumkār kar puchkār kar
maiñ ne unheñ biThlā liyā
par jab ginā maiñ ne unheñ
jo sab se pyārī un meñ thī
thī vo hī gum
rahtā thā ghar ke paas hī
kāfir-adā ik maulvī
maiñ ne garaj kar ye kahā
us se ki o mal.ūn idhar
aa to zarā
sach sach batā kyā baat hai
varna dabochuñgā tirā moTā galā'
jab sham jannat mein hui
baghon mein har-su ghum kar
huren meri ghar aa gain
chuma har ek ka main ne munh
chumkar kar puchkar kar
main ne unhen biThla liya
par jab gina main ne unhen
jo sab se pyari un mein thi
thi wo hi gum
rahta tha ghar ke pas hi
kafir-ada ek maulwi
main ne garaj kar ye kaha
us se ki o malun idhar
aa to zara
sach sach bata kya baat hai
warna dabochunga tera moTa gala'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.