jadid tahqiq
sab se baḌe muhaqqiq karte the ye tamāshā
qabroñ se khīñchte the urdu adab kā lāsha
'saudā' kā ho vo ġhuncha 'akbar' kā yā ho jumman
duggī ho yā ki tiggī tola ho yā ki māshā
gahrī nazar se apnī har ik ko dekhte the
apne qalam se un ko hotī na thī nirāshā
saarī purānī qabreñ jab khod liiñ baḌoñ ne
zindoñ pe ho rahī hai ab mashq be-tahāshā
in kā bhī postmortem karne lage researcher
maqtal meñ aa rahe haiñ kuchh log be-tahāshā
ye fan pe tabsira to karte nahīñ zarā bhī
bas shaḳhsiyat kā un kī Dhote phireñge lāsha
tahqīq kā hai matter dūlhā bane the jab vo
shahnā.ī bhī bajī thī yā sirf Dhol tāshā
is shahr meñ sukūnat jab se huī hai un kī
urdu hī bolte haiñ yā aur koī bhāshā
hai harf un kā kaisā ḳhush-ḳhat haiñ yā ki bad-ḳhat
likhte haiñ sāf-suthrā yā haath meñ hai ra.asha
rakhte haiñ mūñchh dāḌhī yā chehra hai safā chaT
yā zulf jhūltī hai kāñdhoñ pe be-tahāshā
aḳhbār ḳhud haiñ paḌhte paḌhvā ke yā haiñ sunte
vo kaun se risāle kā rakhte haiñ tarāshā
cigarette ke alāva piite haiñ aur kyā kyā
khāte haiñ chocolate yā marġhūb hai batāshā
taftīsh ho rahī hai lañgDā ke kyoñ haiñ chalte
sasurāl meñ piTe kyā begam se be-tahāshā
tahqīq hai ye kaisī likhvā ke jab unhīñ se
thesis kareñ mukammal haañ kuchh badal deñ bhāshā
tahqīq-e-nau kī gaaḌī yūñhī ravāñ-davāñ hai
har jāmia meñ hotā hai bas yahī tamāshā
haq baat khul ke kah dī 'asrār' 'jām.ī' ne
rū-e-suḳhan kisī kī jānib nahīñ hai hāshā
sab se baDe muhaqqiq karte the ye tamasha
qabron se khinchte the urdu adab ka lasha
'sauda' ka ho wo ghuncha 'akbar' ka ya ho jumman
duggi ho ya ki tiggi tola ho ya ki masha
gahri nazar se apni har ek ko dekhte the
apne qalam se un ko hoti na thi nirasha
sari purani qabren jab khod lin baDon ne
zindon pe ho rahi hai ab mashq be-tahasha
in ka bhi postmortem karne lage researcher
maqtal mein aa rahe hain kuchh log be-tahasha
ye fan pe tabsira to karte nahin zara bhi
bas shaKHsiyat ka un ki Dhote phirenge lasha
tahqiq ka hai matter dulha bane the jab wo
shahnai bhi baji thi ya sirf Dhol tasha
is shahr mein sukunat jab se hui hai un ki
urdu hi bolte hain ya aur koi bhasha
hai harf un ka kaisa KHush-KHat hain ya ki bad-KHat
likhte hain saf-suthra ya hath mein hai rasha
rakhte hain munchh daDhi ya chehra hai safa chaT
ya zulf jhulti hai kandhon pe be-tahasha
aKHbar KHud hain paDhte paDhwa ke ya hain sunte
wo kaun se risale ka rakhte hain tarasha
cigarette ke alawa pite hain aur kya kya
khate hain chocolate ya marghub hai batasha
taftish ho rahi hai langDa ke kyon hain chalte
sasural mein piTe kya begam se be-tahasha
tahqiq hai ye kaisi likhwa ke jab unhin se
thesis karen mukammal han kuchh badal den bhasha
tahqiq-e-nau ki gaDi yunhi rawan-dawan hai
har jamia mein hota hai bas yahi tamasha
haq baat khul ke kah di 'asrar' 'jami' ne
ru-e-suKHan kisi ki jaanib nahin hai hasha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.