jine ka kuchh usul na marne ka Dhang hai
jiine kā kuchh usuul na marne kā Dhang hai
har chhoTī-chhoTī baat pe aapas meñ jang hai
jab se sunā hai film dī day after kā haal
khamboñ se ham ne bāñdh ke rakhā palang hai
T V pe gaay bhaiñs pukāreñge roz hī
urdu zabāñ se is meñ ziyāda tarang hai
aayā hai kaisā daur siyāsat meñ dosto
raa.ī bhī ḳhush nahīñ hai re.āyā bhī tang hai
aap apne haath ujaaḌ na leñ ye junūñ-parast
shīshe ke ghar meñ rahte hue mashq-e-sang hai
hūroñ pe hai nigāh go marqad meñ paañv haiñ
vaa.iz aḳhīr-e-umr meñ kyā terā Dhang hai
kursī pe jab the kuchh na kiyā aap ne magar
haT kar pukārnā to faqat uzr-e-lang hai
vaa.iz ko mai-kade meñ jo dekhā thā maiñ ne kal
uḌtā huā janāb ke chehre kā rang hai
tanz-o-mizāh meñ na chhuTā dāman-e-adab
sab se judā 'rahīm' tirā apnā rang hai
jine ka kuchh usul na marne ka Dhang hai
har chhoTi-chhoTi baat pe aapas mein jang hai
jab se suna hai film di day after ka haal
khambon se hum ne bandh ke rakha palang hai
T V pe gay bhains pukarenge roz hi
urdu zaban se is mein ziyaada tarang hai
aaya hai kaisa daur siyasat mein dosto
rai bhi KHush nahin hai reaya bhi tang hai
aap apne hath ujaD na len ye junun-parast
shishe ke ghar mein rahte hue mashq-e-sang hai
huron pe hai nigah go marqad mein panw hain
waiz aKHir-e-umr mein kya tera Dhang hai
kursi pe jab the kuchh na kiya aap ne magar
haT kar pukarna to faqat uzr-e-lang hai
waiz ko mai-kade mein jo dekha tha main ne kal
uDta hua janab ke chehre ka rang hai
tanz-o-mizah mein na chhuTa daman-e-adab
sab se juda 'rahim' tera apna rang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.