jis shaKHs ki upar ki kamai nahin hoti
jis shaḳhs kī uupar kī kamā.ī nahīñ hotī
society us kī kabhī high nahīñ hotī
tab tak tū bharī bazm meñ lagtā hai muazzaz
jab tak ki ġhazal us ne sunā.ī nahīñ hotī
kartā hai usī roz vo shopping kā taqāzā
jis roz mirī jeb meñ paa.ī nahīñ hotī
police karā letī hai har chiiz barāmad
us se bhī ki jis ne ye churā.ī nahīñ hotī
jis shaKHs ki upar ki kamai nahin hoti
society us ki kabhi high nahin hoti
tab tak tu bhari bazm mein lagta hai muazzaz
jab tak ki ghazal us ne sunai nahin hoti
karta hai usi roz wo shopping ka taqaza
jis roz meri jeb mein pai nahin hoti
police kara leti hai har chiz baramad
us se bhi ki jis ne ye churai nahin hoti
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 107)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.