jo ahl-e-zar ne siyasat ko iKHtiyar kiya
jo ahl-e-zar ne siyāsat ko iḳhtiyār kiyā
assembliyoñ meñ pahuñch kar bhī kārobār kiyā
ye kah rahā thā hasīna se ek sabzī-farosh
tirī nazar ne chuqandar ko bhī anaar kiyā
maiñ kyā kahūñ ki mirā jism kitnī shiddat se
sagān-e-kūcha-e-mahbūb ne figār kiyā
tamām ahl-e-ziyāfat the shashdar-o-hairāñ
kisī ne murġh-e-musallam kā jab shikār kiyā
vo kah rahī thī shab-e-vasl apne dūlhā se
ye gift de ke mujhe tū ne sharmsār kiyā
tumhārā tarz-e-taġhāful bhī hang hai shāyad
ki ek 'umr tavajjoh kā intizār kiyā
jo ahl-e-zar ne siyasat ko iKHtiyar kiya
assembliyon mein pahunch kar bhi karobar kiya
ye kah raha tha hasina se ek sabzi-farosh
teri nazar ne chuqandar ko bhi anar kiya
main kya kahun ki mera jism kitni shiddat se
sagan-e-kucha-e-mahbub ne figar kiya
tamam ahl-e-ziyafat the shashdar-o-hairan
kisi ne murgh-e-musallam ka jab shikar kiya
wo kah rahi thi shab-e-wasl apne dulha se
ye gift de ke mujhe tu ne sharmsar kiya
tumhaara tarz-e-taghaful bhi hang hai shayad
ki ek 'umr tawajjoh ka intizar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.