jo bhi tere qarib ho jae
jo bhī tere qarīb ho jaa.e
us kī sūrat ajiib ho jaa.e
dil kā maidān nāpne ke liye
vo sarāpā jarīb ho jaa.e
hubb-e-ulfat kare koī ījād
dushman-e-jāñ habīb ho jaa.e
nabz bhī dekhe haal bhī pūchhe
kaash dilbar tabīb ho jaa.e
bhuuk kā kuchh use bhī ho ehsās
vo sitamgar adiib ho jaa.e
guftugū ke ye nuqra.ī jhaTke
bāvlā bhī ḳhatīb ho jaa.e
jo bhi tere qarib ho jae
us ki surat ajib ho jae
dil ka maidan napne ke liye
wo sarapa jarib ho jae
hubb-e-ulfat kare koi ijad
dushman-e-jaan habib ho jae
nabz bhi dekhe haal bhi puchhe
kash dilbar tabib ho jae
bhuk ka kuchh use bhi ho ehsas
wo sitamgar adib ho jae
guftugu ke ye nuqrai jhaTke
bawla bhi KHatib ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.