jo puchha rahiyon ne kya uTha kar jeb mein rakh li
jo pūchhā rāhiyoñ ne kyā uThā kar jeb meñ rakh lī
uThā.ī jo aTThannī vo dikhā kar jeb meñ rakh lī
huā jab aqd to bāñTī mire saale ne shīrīnī
magar us meñ se thoḌī sī bachā kar jeb meñ rakh lī
namāzeñ bhī adā hotī rahīñ un kī magar jab bhī
milī rishvat to hākim ne chhupā kar jeb meñ rakh lī
ajab shā.ir kī aadat hai ki jab biiḌī jalāne ko
kisī se māñgī māchis to jalā kar jeb meñ rakh lī
sar-e-mahfil kuchh is andāz se hone lagī hōting
ki 'jauhar' ne ġhazal aadhī sunā kar jeb meñ rakh lī
jo puchha rahiyon ne kya uTha kar jeb mein rakh li
uThai jo aTThanni wo dikha kar jeb mein rakh li
hua jab aqd to banTi mere sale ne shirini
magar us mein se thoDi si bacha kar jeb mein rakh li
namazen bhi ada hoti rahin un ki magar jab bhi
mili rishwat to hakim ne chhupa kar jeb mein rakh li
ajab shair ki aadat hai ki jab biDi jalane ko
kisi se mangi machis to jala kar jeb mein rakh li
sar-e-mahfil kuchh is andaz se hone lagi hooting
ki 'jauhar' ne ghazal aadhi suna kar jeb mein rakh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.