joru ka ghulam
hamārī thī jo pyārī sī masahrī
vo ab saasū kī chāhat ho ga.ī hai
jale haiñ is qadar is baat se ham
hamārī kaalī rañgat ho ga.ī hai
dahal jaate haiñ biivī kī garaj se
bas ab kuchh aisī hālat ho ga.ī hai
yuuñ chillātī hai biivī roz ham pe
ki jaise us kī aadat ho ga.ī hai
banā lete haiñ ham miskīn sūrat
hameñ bhī ab mahārat mahārat ho ga.ī hai
sulagtī rahtī hai biivī hamārī
use jalne kī aadat ho ga.ī hai
bahut be zaar haiñ 'hammād-hasan' aaj
sunā hai kuchh marammat ho ga.ī hai hai
hamari thi jo pyari si masahri
wo ab sasu ki chahat ho gai hai
jale hain is qadar is baat se hum
hamari kali rangat ho gai hai
dahal jate hain biwi ki garaj se
bas ab kuchh aisi haalat ho gai hai
yun chillati hai biwi roz hum pe
ki jaise us ki aadat ho gai hai
bana lete hain hum miskin surat
hamein bhi ab mahaarat mahaarat ho gai hai
sulagti rahti hai biwi hamari
use jalne ki aadat ho gai hai
bahut be zar hain 'hammad-hasan' aaj
suna hai kuchh marammat ho gai hai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.