jute-chor
ek din maiñ ne kahā ye ek jūte-chor se
jūtiyoñ par kyuuñ hamesha terī rahtī hai nazar
aur bhī gur haiñ ka.ī rozī kamāne ke liye
chhoḌ ye chorī ke dhande koī achchhā kaam kar
sun ke merī baat ye us ne diyā hañs kar javāb
tum to bilkul choñch ho tum ko nahīñ kuchh bhī ḳhabar
is se baḌh kar kaun sā dhandā hai international
shohra-e-āfāq ālamgīr hai apnā hunar
chappa chappa chor-bāzārī kā hai bāzār garm
chal rahā hai har jagah dhandā yahī shām-o-sahar
har jagah chorī kā charchā har jagah hai lūT-mār
din-dahāḌe luT rahā hai har taraf fard-e-bashar
phir girānī kī girāñbārī se patlā haal hai
shaving stick kī vo qīmat hai ki mundh jaatā hai sar
ye vo dhandā hai barī hai qaid-e-income-tax se
ye vo pesha hai nahīñ jis par girānī kā asar
is meñ firqa-vāriyat hai aur na sūba-vāriyat
bainal-aqvāmī hamārī hai musaffā rahguzar
shart itnī hai ki ho aisī safā.ī haath meñ
ek jumbish meñ chale juutā idhar paañv udhar
jo safāyā qaum kā kar de vahī leader hai aaj
ho safā.ī haath meñ jis ke vo hai ahl-e-hunar
aur bhī is ke alāva saiñkaḌoñ aise haiñ chor
Dālte rahte haiñ jo Daake pe Daake be-ḳhatar
ba.az aise haiñ churā lete haiñ mazmūñ sher ke
aur kah lete haiñ apnā sher Daakā Daal kar
tum bhī to chorī-chhupe an-gintī karte ho gunāh
Dālte rahte ho har-sū tum bhī duzdīda nazar
jūtiyāñ chaTḳhāte tum phirte ho rozī ke liye
apnī rozī ham kamā lete haiñ juute maar kar
ek din main ne kaha ye ek jute-chor se
jutiyon par kyun hamesha teri rahti hai nazar
aur bhi gur hain kai rozi kamane ke liye
chhoD ye chori ke dhande koi achchha kaam kar
sun ke meri baat ye us ne diya hans kar jawab
tum to bilkul chonch ho tum ko nahin kuchh bhi KHabar
is se baDh kar kaun sa dhanda hai international
shohra-e-afaq aalamgir hai apna hunar
chappa chappa chor-bazari ka hai bazar garm
chal raha hai har jagah dhanda yahi sham-o-sahar
har jagah chori ka charcha har jagah hai luT-mar
din-dahaDe luT raha hai har taraf fard-e-bashar
phir girani ki giranbari se patla haal hai
shawing stick ki wo qimat hai ki mundh jata hai sar
ye wo dhanda hai bari hai qaid-e-income-tax se
ye wo pesha hai nahin jis par girani ka asar
is mein firqa-wariyat hai aur na suba-wariyat
bainal-aqwami hamari hai musaffa rahguzar
shart itni hai ki ho aisi safai hath mein
ek jumbish mein chale juta idhar panw udhar
jo safaya qaum ka kar de wahi leader hai aaj
ho safai hath mein jis ke wo hai ahl-e-hunar
aur bhi is ke alawa sainkaDon aise hain chor
Dalte rahte hain jo Dake pe Dake be-KHatar
baz aise hain chura lete hain mazmun sher ke
aur kah lete hain apna sher Daka Dal kar
tum bhi to chori-chhupe an-ginti karte ho gunah
Dalte rahte ho har-su tum bhi duzdida nazar
jutiyan chaTKHate tum phirte ho rozi ke liye
apni rozi hum kama lete hain jute mar kar
- Book : Anwar-e-Tabassum (Pg. 85)
- Author : Mirza Asmatullah Bag Asmat
- Publication : Dakan Studio Abid Circle Hyderabad (1956)
- Edition : 1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.