kahin dirham kahin dollar kahin dinar ka jhagDa
kahīñ dirham kahīñ dollar kahīñ dīnār kā jhagḌā
kahīñ lahñgā kahīñ cholī kahīñ shalvār kā jhagḌā
vatan meñ aaj kal is zaat se us zaat ko shikva
lagā hone kahīñ is paar se us paar kā jhagḌā
vo masjid ho ki mandir ho adab ho yā siyāsat ho
vahī hai jañg kursī kī vahī dastār kā jhagḌā
zamāne kī ravish se kar liyā hai sab ne samjhautā
koī ma.anī nahīñ rakhtā yahāñ kirdār kā jhagḌā
kisī kī Taañg TuuTe yā kisī ahmaq kā sar phūTe
agar hone lage hoshyār se hoshyār kā jhagḌā
yahī insāñ khilaunoñ ke liye bachpan meñ laḌtā hai
baḌe hone pe kartā hai dar-o-dīvār kā jhagḌā
ye duniyā-e-mohabbat bhī anokhī chiiz hai sāhab
kabhī inkār par nālish kabhī iqrār kā jhagḌā
chhiḌā jab un ke ghar jhagḌā to un kī aql chakrā.ī
jo suljhāte rahe the umr-bhar bāzār kā jhagḌā
amīroñ kī laḌā.ī meñ koī lazzat nahīñ hotī
maza aatā hai jab ho muflis-o-nādār kā jhagḌā
agar jāhil bane aalim to kar tā.īd tū us kī
'zafar' achchhā nahīñ hotā hai ye bekār kā jhagḌā
kahin dirham kahin dollar kahin dinar ka jhagDa
kahin lahnga kahin choli kahin shalwar ka jhagDa
watan mein aaj kal is zat se us zat ko shikwa
laga hone kahin is par se us par ka jhagDa
wo masjid ho ki mandir ho adab ho ya siyasat ho
wahi hai jang kursi ki wahi dastar ka jhagDa
zamane ki rawish se kar liya hai sab ne samjhauta
koi mani nahin rakhta yahan kirdar ka jhagDa
kisi ki Tang TuTe ya kisi ahmaq ka sar phuTe
agar hone lage hoshyar se hoshyar ka jhagDa
yahi insan khilaunon ke liye bachpan mein laDta hai
baDe hone pe karta hai dar-o-diwar ka jhagDa
ye duniya-e-mohabbat bhi anokhi chiz hai sahab
kabhi inkar par nalish kabhi iqrar ka jhagDa
chhiDa jab un ke ghar jhagDa to un ki aql chakrai
jo suljhate rahe the umr-bhar bazar ka jhagDa
amiron ki laDai mein koi lazzat nahin hoti
maza aata hai jab ho muflis-o-nadar ka jhagDa
agar jahil bane aalim to kar taid tu us ki
'zafar' achchha nahin hota hai ye bekar ka jhagDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.